Thursday, 4 December 2014

Hafiz Khurram

(December)

Poet Hafiz Khuram

Sard hawa k jhonke kah rahe hai
.
Lout aya hai phir se december
.
Khil sa musam tanha suraj
.
Band kamra khuli kitaab or december
.
Aankh naam garm lehja tabiyat na'saaz
.
Thandi hawaien sard hath or be'raham december
.
Bhol baithe hai arsa daraz se jis ko
.
Aaj lout aya hai phir se december
.
Bohat hasen khuwab dekhaiye thay
.
Chor gaya tha jab khuram hum ko wo mahena tha december
.
Khulain gay aj be'wafai k hum kai qisay
.
Lout aya hay phir se wo be'dard December

Tuesday, 2 December 2014

H.Khurram

Wisl-e-yaar mein maarey howe log hai

Hum ko or jeenay ki dua na de

Bohat ana pasand hai hai ham

Aise baat kar k dil hamara jala na de

Daagah de farib de har sitam de

Par ham ko yeh bad'dua na de

Jaun Elia

Seena dehak raha ho to kyun chup rahe koi
.
Kyun cheekh cheekh kar na gala chel le koi
.
Saabat hua sakoon-e-dil-o-jaan kahin nahi
.
Rishton mein dhondhta hai to dhonda kare koi
.
Tark-e-talluqaat koi masala nahi
.
Yah to wo raasta hai k bas chal parhe koi
.
Deevaar jaanta tha jise main wo dhol thi
.
Aab mujh ko aitmaad ki daavat na de koi
.
Main khud yah chahta hon ke kalaat hon kharaab
.
Mere khilaaf zehr ugalta phire koI
.
Ai shakhs ab to mujh ko sabhi kuch qabo0l hai
.
Yeh bhi qabool hai ke tujhe chen le koi
.
Hai thek hai main apni aana ka mareez hon
.
Aakhir mere mizaaj mein kyun dakhl de koi
.
Ik shakhs kar raha hai abhi tak wafa ka zikar
.
Kaash is zuban daraaz ka munh noch le koi

Rashid Malik

Yeh jo aawaaraj sa phirta hai kabhi yaha kabhi waha
.
Jane kis soch mein rehta hai kabhi yaha kabhi waha
.
Raat afsorda sitare bhi pareshan se hain
.
Chand bhi aaj tehalta hai kabhi yaha kabhi waha
.
Hai koi mera kinara na thekana koi
.
Main sumandar hon jo behta hai kabhi yaha kabhi waha
.
Janta hai abhi kuch dair mein jaal jaye ga
.
Phir bhi parwana machalta hai kabhi yaha kabhi waha
.
Dil k virane mein har lamha teri yaadon ka
.
Aik kangan sa khanakta hai kabhi yaha kabhi waha
.
Jis pe utar'ta hai yeh baagh wo gull bhi rashid
.
Baad khelnay k bikharta hai kabhi yaha kabhi waha

H. Khurram S

Main k sab ghum suna k sehraa ko
.
Khud bhi roya rulaa k sehraa ko
.
Qadar kam kar di main ne darya ki
.
Apne dil mein baasa k sehraa ko
.
Phir hawa kuch bhi kar guzarti hai
.
Apne sar par utha k sehraa ko
.
Is jagha gulistaan bana'na hai
.
Is jagha se haata k sehraa ko
.
Main ne aabad kar diya khurram
.
Tujh ko dil mein baasa k sehraa ko

Hassan Abbasi

Is tarha intaazar kar raha hon main
.
Bachpan se panchiyon ko raha kar raha hon main
.
Main janta hon phele zarorat hai meri kya
.
Pahiron ko apne sath bara kar raha hon main
.
Likha jo tera naam koi beel ban gai
.
Aa jaye is pe phol dua kar raha hon main
.
Jaise k pyar karna koi kaam he na ho
.
Sab pochtey hain in dinon kya kar raha hon main
.
Yeh chand raat hai k tumhara wajod hai
.
Lehron ka shor hai k sada kar raha hon main
.
Aab us k shar se bachna pare ga tamam umar
.
Aik baar phir kisi ka bahala kar raha hon main

Naseer Ud Din

Ab to yeh sanah bhi hota hai
.
Meri halat pe wo bhi rota hai
.
Tu to kahta tha k pathar hon main
.
Ab mery dil bata kiyon rota hai
.
Itna hsaas howa hon main to
.
Baat be'baat pe dil rota hai
.
Ab riya'kari labon ne sekhi
.
Mushkurate hain yeh dil rota hai
.
Din k dhalte he mera dil bhi dahaley
.
Jane kiyon be'waja yeh hota hai
.
Dil k paatay ki tarha kanpey mera
.
Ab to jhonka jo badan chota hai
.
Teri qismat bhi bahala kiyon jaagay
.
Subha hote hi jo tu sota hai
.
Dil tery hath se phisla hai naseer
.
Hath milane se kya hota hai

H.Khurram J

Naqsh aankhon mein chupa tha mujhe malum na tha
.
Aaiina mujh se khafa tha mujhe malum na tha
.
Aik maale ne kaha dukh bhare lehjay mein mujhe
.
Pahir (darakht) andar se hara tha mujhe malum na tha
.
Halt-e-ghum mein kahan hosh thekaney the mery
.
Kon kab aa k mila tha mujhe malum na tha
.
Waqat guzara to use yaad kiya main ne buhat
.
Aane wala he bura tha mujhe malum na tha

Monday, 1 December 2014

Aarsh Saddiqui

Osey kehna December aa gia hai

December ke guzarty he bars

Aik aur mazi ki ghapa mein doob jaye ga

Osey kehna December Laot aye ga

Magr jo khoon soo jaye ga jismon mein

Na jagey ga Osey kehna Hawaien sard hen

Aur zindagi ke harey ki Dewaron me Larzaan hen

Osey kehna shagofey tehnion me so rahy hein

Aur un pe barrf ki chaadr bichi hai

Osey kehna agr suraj na nikley ga
to

Kaisy barrf piglay ge Osey kehna Laot aye

Lubna Aks

Is baar december mein mulaqaat kare gaye
.
Socha hai sanam tum se har ik baat kare gaye
.
Hatho mein diye hath bohat dor chale gaye
.
Jaana teri bahon mein he ham raat kare gaye
.
Kandhe pe ho gai shall hathon mein thama cup
.
Ham shall dhale payaar ki barsaat kare gaye
.
Sanso ki hararat ho hathon ki chahe lams
.
Ham naam teray he sarey jazbaat kare gaye
.
Hum sunte aa rahe hai december udaas hai
.
Ham ab k december mein he shab-e-baraat kare gaye
.
Aankhon mein teri aks mera ter'taa rahe
.
Ham apna sarapa tumhein sughaat kare gaye