Naqsh aankhon mein chupa tha mujhe malum na tha
.
Aaiina mujh se khafa tha mujhe malum na tha
.
Aik maale ne kaha dukh bhare lehjay mein mujhe
.
Pahir (darakht) andar se hara tha mujhe malum na tha
.
Halt-e-ghum mein kahan hosh thekaney the mery
.
Kon kab aa k mila tha mujhe malum na tha
.
Waqat guzara to use yaad kiya main ne buhat
.
Aane wala he bura tha mujhe malum na tha
No comments:
Post a Comment