Tuesday, 2 December 2014

Hassan Abbasi

Is tarha intaazar kar raha hon main
.
Bachpan se panchiyon ko raha kar raha hon main
.
Main janta hon phele zarorat hai meri kya
.
Pahiron ko apne sath bara kar raha hon main
.
Likha jo tera naam koi beel ban gai
.
Aa jaye is pe phol dua kar raha hon main
.
Jaise k pyar karna koi kaam he na ho
.
Sab pochtey hain in dinon kya kar raha hon main
.
Yeh chand raat hai k tumhara wajod hai
.
Lehron ka shor hai k sada kar raha hon main
.
Aab us k shar se bachna pare ga tamam umar
.
Aik baar phir kisi ka bahala kar raha hon main

No comments:

Post a Comment