Tuesday, 2 December 2014

Jaun Elia

Seena dehak raha ho to kyun chup rahe koi
.
Kyun cheekh cheekh kar na gala chel le koi
.
Saabat hua sakoon-e-dil-o-jaan kahin nahi
.
Rishton mein dhondhta hai to dhonda kare koi
.
Tark-e-talluqaat koi masala nahi
.
Yah to wo raasta hai k bas chal parhe koi
.
Deevaar jaanta tha jise main wo dhol thi
.
Aab mujh ko aitmaad ki daavat na de koi
.
Main khud yah chahta hon ke kalaat hon kharaab
.
Mere khilaaf zehr ugalta phire koI
.
Ai shakhs ab to mujh ko sabhi kuch qabo0l hai
.
Yeh bhi qabool hai ke tujhe chen le koi
.
Hai thek hai main apni aana ka mareez hon
.
Aakhir mere mizaaj mein kyun dakhl de koi
.
Ik shakhs kar raha hai abhi tak wafa ka zikar
.
Kaash is zuban daraaz ka munh noch le koi

No comments:

Post a Comment