Khuda ke dar pe main apni ibadaten rakh dun
Tumhare mathe pe khushiyon ki aayaten rakh dun
Badan nawaz badan ki sharafaten rakh dun
Main shab ki baanhon men din ki imaraten rakh dun
Shareef logon ki bachkana harkaten rakh dun
Ghareeb logon ki basti men aafaten rakh dun
Tumhai jheel si aankhon ki gar ijazat ho
Tumhare honton pe apni muhabbaten rakh dun
Tumhare jude men taza gulab sajta rahe
Tumhari saanson men khusboo ki wuswaten rakh dun
Baghair jhoot ke ghar baar chal nahin sakta
Qareeb aao main sach ki nazakaten rakh dun
Badan pe tairte saawan ki woh ibarat hai
Ye dil ki zid ki main us par waseeaten rakh dun
Tere baghair to lagta tha jee na paaounga
Tere baghair bhi zinda hun azmaten rakh dun
'Kanwal' main 'Anna' ke hamrah chal bhi sakta hun
Agar kahin pe ye ghar ki zaruraten rakh dun
No comments:
Post a Comment