Thursday, 26 June 2014

(Dil)

Poet Shahbaz Naqvi

Ajnabi chehron mein ik mera shanasa mera dil...*

Dhundhata phirta hai koi apne jaisa mera dil...*

Aankahe jazbon ki kitni dastanein kah gaye...*

Khoyi khoyi teri aankhein roya-roya mera dil...*

Shahar ki viran sarak par jalti bujhti raushni...*

Aapane hone ya na hone ka tamasha mera dil...*

Hijr ke sahara mein teri yaad ka urata ghubar...*

Ik musafir be-sar-o-saaman-o-tanha mera dil...*

Daman-e-dariya mein kunjon ke utarane ki sada...*

Dubate suraj ka manzar thahara-thahara mera dil...*

Be-hamiyat zindagani be-sada apna lahu...*

Karb ke lamhon ke hathon zakhm sahta mera dil...*

No comments:

Post a Comment