Saturday, 7 June 2014

qariib maut kharii hai zaraa Thahar jaao
qazaa se aankh lari hai zaraa Thahar jaao
thakii thakii sii fazaayen bujhe bujhe taare
ba.Dii udaas ghari hai zaraa Thahar jaao
nahin ummiid ki ham aaj kii sahar dekhen
ye raat ham pe kari hai zaraa Thahar jaao
abhii na jaao ki taaron kaa dil dharakataa hai
tamaam raat pari hai zaraa Thahar jaao
phir is ke baad kabhii ham na tum ko roken ge
labon pe saans arii hai zaraa Thahar jaao
dam-e-firaaq men jii bhar ke tum ko dekh to luun
ye faisale kii gharii hai zaraa Thahar jaao

Poet Ahmed Faraz

No comments:

Post a Comment