Monday, 30 June 2014

Chalo aaj se ek nai misaal ban jayen
jo julmatzada hain unki mashaal ban jaayen
zehan me jinke hum chubhte hain kanto ki tarah
kasam le unke humnafas, humkhayal ban jaaye .

Gale milkar mahaz rasam na nibha mere dost
EID ke aur bhi maayne hain gaur kar payaam
Salamat rahe ye dunia har bala aur buraai se
Dua hain ek agar muh se jo nikal gaya salaam

Wali ka paigaam dunia me faila de har soo
hawao'n me mila de isq"o"khulus ka itar
pyaar,neki,sukun aur khushiyo ke dikhe jalse
jidhar bhi dekhe nazar hansti nazar aaye nazar

Siwaiyon ki tarah taalluqaat mithe ho jaaye
Shahad ki tarah shiriniya aa jaaye zubaa par
Shamma ki tarah jalte rahe dete rahe roshni
Chal mere dost mere saath aal milkar dua kar

Is eid ke baad mere ghar har ek din eid ho
Mere watan me chain"o"aman ka ho basera
Aaj raat ka chand tumhe tahe dil se mubaarak
"Deepak" khushamdeed hain kal Eid ka savera.

Kavi Deepak Sharma

No comments:

Post a Comment