=>Arz-e-niyaz-e-ishq ke qabil nahin raha...*
.
>Jis dil pe naaz tha mujhe vo dil nahin raha...*
.
>Jata hun daag-e-hasarat-e-hasti liye hue...*
.
>Hun shama-e-kushta daraKhur-e-mahafil nahin raha...*
.
>Marane ki ai dil aur hi tadabir kar ki main...*
.
>Shayan-e-dast-o-baazu-e-qaatil nahin raha...*
.
>Ba-ru-e-shash jihat dar-e-aaina baaz hai...*
.
>Yaan imtiaz-e-na'kis-o-qaamil nahin raha...*
.
>Wa kar diye hain shauq ne band-e-naqaab-e-husn...*
.
>Gair az nigaah ab koi hail nahin raha...*
.
>Go main raha rahin-e-sitam haye rozagar...*
.
>Lekin tere Khayal se Gaafil nahin raha...*
.
>Dil se hawa-e-kisht-e-vafa mit ke waan...*
.
>Hasil sivaye hasrat-e-haasil nahin raha...*
.
>Bedaad-e-ishq se nahin Darata magar 'Asad'...*
.
>Jis dil pe naaz tha mujhe wo dil nahin raha...*
Thursday, 5 June 2014
Poet Mirza Ghalib
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment