Monday, 30 June 2014

Eid Ghazal

Suna Hai Chand Nikla Hai Suna Hai Eid Ho Gi...*

Hamen to Aasman pe door tak Kuch bhe Nihe dikhta...*

Kahan wo chand Nikla hy K jis k Wasty ik Umr se Hum ne...*

Kabi PalkEn Nhe Jhap keen wo Jiska Rasta takty...*
.
Kati hy ZindaGi Apni tumhEn Kuch hy khabr...*
.
Wo Chand nikla hy to kab aakhir hmari Muntazir Aankhon ko...*
.
Uski Deed kb hoGi abhi Pocho nahi Hum se...*
.
Hmari EID kab Ho Gi hmari EID kab ho Gi...*

Eid Gazal

=>Es eid par bhi yaad ao ga

Dil par aik bohj ho ga jab eid ka shor ho ga

Ronk se bahr jay gi bazaron me to ghm sum se, kho jay gi kahyalo me

To tumhain me yaad ao ga

Pehno gi jab kapre kajal or hathon me saja k kangn

Jab jao gi sakiyon se milne thora zikar to humara ho ga

To tumhain us roz me yaad ao ga

Sun k zikar pareshan ho jao gi pehir dil ko rok na pao gi

khuram 'Har soo ujala ho ga pehir bas anso0 he anso0 ka nazara ho ga

Eid k roz jab me yaad ao ga

Poet Hafiz Khuram

Shaad Thaa Jab Dil Vah Thaa Aur Hii Zamaana Eid Ka
Ab To Yaksaan Hai Hamen, Aanaa Na Jaanaa Eid Ka

Dil Ka Khoon Hotaa Hai Jab Aataa Hai Apnaa Hamko Yaad
Aadhii-Aadhii Raat Tak Menhadii Lagaanaa Eid Ka

Aansoo Aate Hain Bhare Jab Dhyaan Men Guzare Hai Aah
Pichhale Pahar Se Vah Uth-Utha Kar Nahaanaa Eid Ka

Hashr Tak Jaatii Nahiin Khaatir Se Is Hasrat Kii Boo
Itr Baghalon Men Vah Bhar-Bhar Lagaanaa Eid Ka

Honth Jab Hote The Laal, Ab Aankhen Ho Jaatii Hain Surkh
Yaad Aataa Hai Jo Hamko Paan Khaanaa Eid Ka

Dil Ke Ho Jaate Hain Tukarhe Jis Gharhii Aataa Hai Yaad
Eid_Gaah Tak Dil_Baron Ke Saath Jaanaa Eid Ka

Gul_Izaaron Ke Miyaan Milne Kii Khaatir Jab To Ham
Thaan Rakhte The Mahiinon Se Bahaanaa Eid Ka

Ab To Yoon Chhupte Hain Jaise Teer Se Bhaage Ko_Ii
Tab Bane Phirte The Ham Aap Hii Nishaanaa Eid Ka

Niind Aatii Thii Na Hargiz Bhook Lagtii Thii Zaraa
Yah Khushii Hotii Thii Jab Hotaa Thaa Aanaa Eid Ka

Nazeer Akbarabadi

View topic - (¯` EiD PoeTrY ´¯)

Share image ——by @UC Browser

View topic - (¯` EiD PoeTrY ´¯)

Share image ——by @UC Browser

View topic - (¯` EiD PoeTrY ´¯)

Share image ——by @UC Browser

View topic - (¯` EiD PoeTrY ´¯)

Share image ——by @UC Browser

View topic - (¯` EiD PoeTrY ´¯)

Share image ——by @UC Browser

View topic - (¯` EiD PoeTrY ´¯)

Share image ——by @UC Browser
Chalo aaj se ek nai misaal ban jayen
jo julmatzada hain unki mashaal ban jaayen
zehan me jinke hum chubhte hain kanto ki tarah
kasam le unke humnafas, humkhayal ban jaaye .

Gale milkar mahaz rasam na nibha mere dost
EID ke aur bhi maayne hain gaur kar payaam
Salamat rahe ye dunia har bala aur buraai se
Dua hain ek agar muh se jo nikal gaya salaam

Wali ka paigaam dunia me faila de har soo
hawao'n me mila de isq"o"khulus ka itar
pyaar,neki,sukun aur khushiyo ke dikhe jalse
jidhar bhi dekhe nazar hansti nazar aaye nazar

Siwaiyon ki tarah taalluqaat mithe ho jaaye
Shahad ki tarah shiriniya aa jaaye zubaa par
Shamma ki tarah jalte rahe dete rahe roshni
Chal mere dost mere saath aal milkar dua kar

Is eid ke baad mere ghar har ek din eid ho
Mere watan me chain"o"aman ka ho basera
Aaj raat ka chand tumhe tahe dil se mubaarak
"Deepak" khushamdeed hain kal Eid ka savera.

Kavi Deepak Sharma

topic - (¯` EiD PoeTrY ´¯)

Share image ——by @UC Browser
Tum Aao to Ham bhi Eid karein
Hasrat Hai Tumhari Deed Karein
Tum Aao to ham bhi Eid karein
Kuch Dair to Dil ko Chain Miley
Kuch roz to Man ka Phool Khiley
Kehtey hain ke Eid ki Aamad hai
Ham log bhi Kuch taaeid karein
Tum Aao to Ham bhi Eid karein
Tum se yeh Aik Guzaarish hai
yeh Apney Dil ki Khaaish hai
Ik Baar milo , Ik Baar Milo
Har Baar yahi Taakeed karein
Tum Aao to ham bhi Eid Karein
Mana ke Ham Deewaney hain
Sab Baatoo"n Se Anjaaney hain
Jab Apney hi Baigaaney hain
Kya Ghairoo"n Se Umeed karein
Tum Aao to ham bhi eid karein
Tum aao to Ham bhi Eid karein
NA JANAY KYON MERA KAJAL
JAB BHI DAALO AAKHON MAIN AAB
AKSAR PHAIL JATA HAI
MEIN ROI TO NAHI HOON

TUM TO JANTAY HO IN DINO
BUHAT HI THAND HOTI HAI
TAB HI HAI SURKH MERI NAAK
MEIN ROI TO NAHI HOON

KAHA TO HAI KAY YUN HI BUS
BHEEGA HAI AANCHAL KA KONA
CHHORO TUM FIKAR MAT KARO
MEIN ROI TO NAHI HOON

NAHI, UDAAS KAB HOON MEIN
ZIYADA KAM KARNAY SAY
THAKAWAT HO HI JATI HAI
MEIN ROI TO NAHI HOON

EID AEI HAI, WOH AAB BHI
NAHI AATA TO NA AYE
AB US KI YAAD MEIN DEKHO
MEIN ROI TO NAHI HOON

BATA DAYNA US KO JA KAR
KOI KHUSH-FEHMI NA PAALAY
WAISAY HI SURKH HAIN AANKHAIN
MEIN ROI TO NAHI HOON

Sunday, 29 June 2014

Chand Raat

Poet Hafiz Khuram

=>Guzar gai chaand raat ab eid ki tiyare hai...*
.
Ghum howe khtam sab ab milne ki un se bari hai...*
.
Paon mai piyal ankh mai kajal kan0n mai balee hai...*
.
Wo gum'sum bohat saj sawar k ane wale hai...*
.
Guzar gai chaand raat ab eid ki tiyare hai...*
.
Lab hai khusk bohat aj dor bohat tanhai hai...*
.
Kah na paie wo kuch honton se aj bhi...*
.
Par meray naam ki mehndi us ne apne hath0n par lagi hai...*
.
Khush tha dil Khuram aj bohat he zayda...*
.
Jo baat wo kah na sake wo mehndi se samjh aye hai...*
.
Guzar gai chaand raat ab eid ki tiyare hai...*

Pardas Ki Eid

Pardais ki eid
...


Poet Hafiz Khuram

=>Urte fakhta sandais eid ka laie hai...*
.
Dor fakht tak khusiyan sahnai hai...*
.
Pardais ki eid bhi kya eid h0te hai...*
.
Aj apne dais ki bohat hum ko yaad aye hai...*
.
Wo milna milana logo se kushi k sath...*
.
Ab to edhar udhar bs parchaie hai...*
.
Yaad ata hai maa se baataien kerna bhi...*
.
Maa k hath ki aj sawiya bhi nahe kahe hai...*
.
Urte fakhta sandais eid ka laie hai...*
.
Sun k eid ka khuram na jane ankh ku bhar aie hai...*

Eid Gzl

{Eid Par Taqdeer Badli}

Poet Hafiz Khuram

Kar k meekaap laga kar eid par mehndi...*
.
Us ne apne surat hai badli...*
.
Kisi ne husan k badle maeni...*
.
Kisi ne ishq ki taseer badli...*
.
Ghom'ne nikala wo eid k roz bagh0n mai...*
.
Dekh k un ko qaliyon ne hai khusboo apni badli...*
.
In ankhon ne eid par apne khuwaab badle...*
.
Na khuwaabon ne koi tabeer badli...*
.
Mila hai wo hum ko khuram eid k roz ja kar...*
.
Taab ja kar hamari hai taqdeer badli...*

Yeh Eid

Ye Eid To Phir Se Lout Aai Hai,

Jo Bichere Kab Wo Loutein Gay,

Wo Kaise Hum Se Bichar Gaye,

Ye Beth Kar Hum Tum Sochein Gay,

Wo Jin Se Ghar Ki Ronaq Thi,

Kaise Hum Se Door Howay,

Wo Chand Sa Jin Ka Chehra Tha,

Wo Aakhon Se Door Howay,

Jab Yad Humain Wo Aain Gay,

Hum Kaise Aanso Rokain Gay,

Ye Eid To Phir Se Lout Aai Hai,

Jo Bichere Hain Kab Wo Loutein Gay.

Saturday, 28 June 2014

Tum ao eid kare

Tum Aao to Ham bhi Eid karein
Hasrat Hai Tumhari Deed Karein
Tum Aao to ham bhi Eid karein
Kuch Dair to Dil ko Chain Miley
Kuch roz to Man ka Phool Khiley
Kehtey hain ke Eid ki Aamad hai
Ham log bhi Kuch taaeid karein
Tum Aao to Ham bhi Eid karein
Tum se yeh Aik Guzaarish hai
yeh Apney Dil ki Khaaish hai
Ik Baar milo , Ik Baar Milo
Har Baar yahi Taakeed karein
Tum Aao to ham bhi Eid Karein
Mana ke Ham Deewaney hain
Sab Baatoo"n Se Anjaaney hain
Jab Apney hi Baigaaney hain
Kya Ghairoo"n Se Umeed karein
Tum Aao to ham bhi eid karein
Tum aao to Ham bhi Eid karein

To Fikar Mand Ku Hai

Khat likh raha hoon ehd e mohabat ko torr kar.!
:
Kagaz pe aansu'on ki jagha chorr chorr kar.!
:
Tu fikar mand q hai mere dil ko torr kar.!
:
Main khud hi ja raha hoon tera shehr chorr kar.!
:
Kal raat likhne baitha gazal tere naam ki.!
:
Alfaaz samnay thy kharray haath jorr kar.!
:
Main jis main dekhta tha tera aks ay meri ja.
:
Tu ne hi rakh diya wo aaina torr kar.
Gaye baras ki eid ka din kya acha tha,
chaand ko dekh ke uskaa chehra dekha tha
Fazaa mein cactus ke lehjey ki nermahat thi
mausam apne rang mein faiz ka missraah tha
Dua ke be-awaz, ulohi lamhon mein
woh lamhaa bhi kitna dilkashh lamha tha
Haath utha ker jab Aankhoon hi aankhon mein
us ne mujh ko apne Rab se mangaa tha
Phir mere chehre ko haathon mein le ker
kitney pyar se mera maatha chooma tha!
Hawa! kuch aj ki shab ka ahwaal suna
kya woh apni chat per aj akela tha?
Ya koi mere jeisi saath thi, aur uss ne
chand ko dekh ke us ka chehra dekhaa tha

Friday, 27 June 2014

Tum Eid Manao Saj Dhaj Ke..,
Me Jese Hon Wesa Hee Sahi,
Jiss Haal Main Hon Main Jesa Hon,
Na Poch Sanam Ab Kesa Hon,

Tum Dill Ka Lagana Kia Jano,
Tum Ashk Bahana Kia Jano,
Tum Nazuk Phool Ho Gullshan Ke..,
Tum Aag Mein Jalna Kia Jano..,
Ye Umar He Tere Hansne Ki,,
Nahein Ishq Mein Aahein Bharne Ki,,
Meri Qismat Mein Hy Dard Sanam..
Sab Seh Longa Taqdir Ke Gham,,

Majbor Milay Jo Ulfat Main…
Sar Aankhon Par Ye Saary Sitam,,
Jab RUB Ko Hy Manzor Yahi,,
Tou BISMILLAH Aesa Hee Sahi..
Tm eid manao saj Dhaj k..,
Me Jese Hon Wese Hee Sahi…

Aye Chand

Jab Wo Teri Tarf Dekhain

To Unhain Kuch Yaad Delana

Madh-hur Se Kuch Geet Sunana

Phir Chupkey Se Un K Pass Jana

Aur Kehna!!!

Tumhain Koi Yad Karta Hai.

Teri Arzo, Teri Umeed Karta Hai

Koi Ajj Be

Tumhain Dekh Kr

EID karta Hai.

Aamir Jamil :: Jan Jao gay

Unhein keh do k ab tum door sey hi jaan jao gey
Hein hum terey humein tum door sey pahchan jao gey

Tum aao gey bouhat bey tabhi mein talash kerney ko
Mager doundey ga na saya bhi tu hairan jao gey

Ager teri adaein hein tu kuch meri adaein hei
Mujey socho gey kuch lamha tu phir tum jan jao gey

Bouhat bey kaif tha pahley mager ab who kifayat hai
k tum daikho gey tu sochon mein bey diyan jao gey

Zayada dair tak rahti nahin hai badshahi bhi
Tum ahir kar Aamir haar apni man jao gey

Aamir Jamil :: Is Terhan Jhoom k kiun

Is Terhan Jhoom k kiun zindgi mein aatey ho
Gahrey badil ki terhan sanso dil peh chatey ho

Kiun bataon k waja kia hai roth janey ki
Khudi likhtey ho saza khud hi tum mitatey ho

Saza jo ho tumhein maqsood saza do humdum
Diyey jala k phir aandi ko kiun bulatey ho

Merey kanon mein her ghari hi gonjti hai hansi
Dostoon mein jo kabhi mil k muskuratey ho

Ager yaqeen hai meri jaan k tout jaey ga
Tu phir sahil peh kiun matti k ghar banatey ho

Thursday, 26 June 2014

Aamir Jamil :: Intzaar

Muddat Guzzer gai mager hum pyar hi kertey rahey
Deed k baghair intazar hi kertey rahey

Khoon k rishton mein merey pyar ki zanjeer thi
Khaub mein khayal mein didar hi kertey rahey

Un k liye yeh zindgi her lamha hi mamoor thi
Sitm e zamana daikh ker jaan nisar hi kertey rahey

Sub khauhishon ko hum ney dill mein dafan ker lia
Jivan mein apna hum acha kirdar hi kertey rahey

Jin k liyeh thi zindgi un ka na kuch pata chala
Jeeney k liyeh koshishein baikar hi kertey rahey

Ik zindgi k moor per Aamir ko mili her haber
Phir mout tak hum ankh nam her bar hi kertey rahey

Aamir Jamil :: Hoor...

Kam bhi nahin tu hoor sey gar hoor nahin hai
Bey zarf hai dunyan mager majboor nahin hai

Fasley mititey houwey kab dair lagti hai
Aya karo milney mera gar door nahin hai

Ab kia karo jaon kahan dill kis ko dikhaon
Nazroon ki khata hai mera kasoor nahin hai

Girtey huey thaktey huey hum chal tu rahey hein
Agar tu saath mil jao tu sahil door nahin hai

Hum muntazir nazroon sey tujey dound rahey hein
Samander abhi ullfat kia uboor nahin hai

Aamir Jamil :: Hizan pouchey zuban pouchey

Humein bhi ho gaya tha pyar jab apna pata na tha
Nadani mein hi kho baithey hizan pouchey zuban pouchey

Tumhein maloom hai k ab humari kaisi khalat hai
Gulistaan hum peh kiun hansey hizan pochey zuban pochey

Sada terey labon peh bhi humari muskarahat ho
Yahan jitey hein hum kaisey hizan pouchey zuban pouchey

Dua kertey hein hum phir k who aya haal lout aey
Mager who kia zamaney they hizan pouchey zuban pouchey

Humein ab kuch nahin kahna k Aamir tum bata do na
Koi qissa nahin peechey hizan pouchey zuban pouchey

Aamir Jamil :: Bhoul jatey ho

Tumhi akser in ankhon ko dikhana bhoul jatey ho
Bhari mahfil mein hum sey dil lagana bhoul jatey ho

Terey qadmoon ki simmat daikhti hein doundti aankein
Magan ho tum hamari simmt aana bhoul jatey ho

Bouhat hein mantey hein hum terey zahnon gumaan lakin
Humein hi dastaney dil sunana bhoul jatey ho

Bhouhat khiltey ho tum mahfil mein apni mil k sakhyoon sey
Hamari baat peh kiun muskurana bhoul jatey ho

Waisey tu bouhat arman hein ik saath chalney k
Mager tum khouf mein qadam uthana bhoul jatey ho

Terey hontoon peh her lamha khushi k phoul khiltey hein
Wahan tum kiun muhabat ka tarana bhoul jatey ho

Aamir Jamil :: Baiqarari

Whohi rahber wohi talib mager ahsas nahin hein
Who fikro shok o lagan bahtari ilmas nahin hein

Humari souch ko soucho gay tu pohncho gay kab yaro
hein kuch ilfaz jo ab shairon k paas nahin hein

Bhouhat hum ney dikhey hein tumhein bhi pyar k mousam
Laga hai yeh k humein pyar bhi ab rass nahin hai

Kabhi samjo kabhi soucho zara Aamir k jazbon ko
Humein ab souchtey rehney ki zara pyass nahin hai

Kahan gum ho khayalon ki falak beeni fazaon mein
Tu mat doundo humein shair bhi hum kuch khas nahin hein

Tum bichrey ho tu such boulon humari kia kaifiyat hai
Barasti tu yeh ankhein hein mager udas nahin hein

Aamir Jamil :: Bahrey Ulfat

Kam bhi nahin tu hoor sey gar hoor nahin hai
bey zaraf hai dunya mager majboor nahin hai.

Fasley mititey huey kab dair lagti hai
aaya karo milney mera gar door nahin hai.

ab kia karon jaon kahan dill kis ko dikhaon
nazroon ki khata hai mera kasoor nahin hai.

Ruktey huey juktey huey hum chal tu rahey hein
Ager tu saath mil jao to sahil door nahin hai.

Hum muntazir nazroon sey tujey dound rahey hein
samander abhi ulfat kia uboor nahin hai.

Aamir Jamil :: Aarzoo

Kabhi arzoaon mein dal gaey kabhi dashtey dil mein uter gaey
takra k louti jo roshni uddas chahrey nikher gaey.

Merey samney ik faseel thi ik khuab ki takmeel thi
apnoon hi sey jab moun phira merey sarey khuab mkher gaey.

Phoulon ki mahfil sey pyar tha ik sakoon jakgey ki talash thi
khamoosh vadi mein chal diyeh hum ider gaey kal uder gaey.

Hum sub azizoon mein pyar tha aur zindgi bhi jamil thi
apna tu khud ko pata nahin merey dil nawaz kider gaey.

Jo asal thi us ney perhi nahin who is ghazal ki daleel thi
na hi khoush thi na khaber mili bigrey halaat biger gaey.

Faisal Khan :: Tanhaiyan

aaj phir unhi tanhaiyon kay pehray main
Koi Bohat Shidat say mujhay Yaad Aaya

Apnay aap ko Bhulanay ki koshish Ki Harbaar
Har Baar bohat shidat say mujhay woh yaad aaya

Apni Soch Kay Rastay ko Badlnay Ko Koshish main Kuch Dhoonda
HAR bar ussi hasti ko apni tanhaiyon main ham safar paya

Kahin ussay meri aankhoon main nami ka ahsaas na hojayay
Ashk Chupanay ko Ussi ka diya howa romal kaam aaya

Kaha uss nay keh Mujhay Bhool Jao Tum
Main Kaisay Chordon apnay Wajood ka Saya

Hum nay jab bhi kisi aur simt dekhnay ki ki koshish
har simt unhi bay samar umeedon ka hisar paya

(Dil)

Poet Shahbaz Naqvi

Ajnabi chehron mein ik mera shanasa mera dil...*

Dhundhata phirta hai koi apne jaisa mera dil...*

Aankahe jazbon ki kitni dastanein kah gaye...*

Khoyi khoyi teri aankhein roya-roya mera dil...*

Shahar ki viran sarak par jalti bujhti raushni...*

Aapane hone ya na hone ka tamasha mera dil...*

Hijr ke sahara mein teri yaad ka urata ghubar...*

Ik musafir be-sar-o-saaman-o-tanha mera dil...*

Daman-e-dariya mein kunjon ke utarane ki sada...*

Dubate suraj ka manzar thahara-thahara mera dil...*

Be-hamiyat zindagani be-sada apna lahu...*

Karb ke lamhon ke hathon zakhm sahta mera dil...*

PoeT
Bahadur Shah Zafar

Barrey Logon Mein Hum Chhoton Key Sar Oonchey Nahin Hotey

Keh Gamlon Mein Jo Ugtey Hain Shajar Oonchey Nahin Hotey

Agarche Par Shakasta Hoon Magar Chirruo'n Sey Keh'h Deyna

Urraan Oonchi Hua Karti Hey Par Oonchey Nahin Hotey

Manazir Kheinchney Waley Pas_E_Manzar Hee Rehtey Hain

Jinhien Ooncha Samajhti Hey Nazar,Oonchey Nahin Hotey

Hamey'n Mo'jiz Numaii Ki Ijaazat Hee Nahin Warna

Trey Darbar Key Yeh Jaadugar Oonchey Nahin Hotey

Hamey'n Bhi Sar Balandi Ki Tamanna Tang Karti Hey

Magar Hum Doosro'n Ko Round Kar Oonchey Nahin Hotey

=========
SHUKRIYA
=========

Poet Hafiz Khuram

Roz Karta tha batain Milne Milane ki...*

aaj humari galiyon mein aa jane ka shukria...*

dil haar gay thay hum dekh k un ko...*

jhota sath nibahnay ka shukria...*

Kehta tha mujhe se k main chand taray tor laon ga tumhare liye...*

Aysay jhotay khuwab dekhany ka shukria...*

soch k yeh bat meri aankhon se ab laho nikalta hai...*

mujhe meri nazar se girane ka shukria...*

toot k chahtay thay hum us sang dil ko...*

na chahay dunia mein koi kisi ko ye ahsas dilane ka shukria.....*

Tuesday, 24 June 2014

Poet Kaif Azmi

Yahi tohafa hai yahi nazarana
main jo aawara nazar laya hun
rang mein tere milane ke liye
qatara-e-khun-e-jigar laya hun
ae gulabon ke vatan
pahale kab aaya hun kuch yaad nahi
lekin aaya tha qasam khata hun
phul to phul hain kanton pe tere
apne honton ke nishan pata hun
mere khwabon ke vatan
choom lene de mujhe hath apne
jin se todi hain kai zanjiren
tune badala hai mashiyat ka mizaj
tune likhi hain nai taqdiren
inqalabon ke vatan
phul ke bad naye phul khilen
kabhi khali na ho daman tera
roshani roshani teri rahen
chandani chandani aangan tera
mahatabon ke vatan

{ Aj So Gay Hai }

Poet Hafiz Khuram


=>Nikle hai jo tanha aj qaflon k bech...*
.
Unhin qafl0n mai kahe kho gay hai...*
.
Dil fughan mai itne dard bhar chuke the...*
.
Aa kar humarien pas ro gay hai...*
.
Dil par pathr rakh k sune dastan un ki qasido...*
.
Wo apne anson ki khushboo yaha chor gay hai...*
.
Tanhaiyon mai rehne ka sh0q esa par gay...*
.
K en k anson ki he khushbo mai kho gay hai...*
.
Khel rahe the qismat kuch khel hum se aisay...*
.
K labon se un ka naam he bol rahe hai...*
.
Bhol jay gay un ko khuram hum...*
.
Dekho pehir me'kaday ki taraf lout gay hai...*
.
Pee k madhosh ho gay kuch es tarha...*
.
Bol kuch nahe rahe hamesha k liye so gay hai...*

Monday, 23 June 2014

{ Barish }


Poet Hafiz Khuram


=>Halki halki barish mai yaad tum aye...*
.
Dahl gaya suraj dekho taaray nikal aye...*
.
Ghum ki shal uorh k wo raat pehir aye...*
.
Halki halki barish mai yaad hum ko tum aye...*
.
Hum apni khirki main bathay asman par dekh rahe hain...*
.
Dekho aj pehir koi dewana apna ghar jaley...*
.
Aankhon se behtay anson ki nami kah rahe hai...*
.
Yah rab esa din pehir kabhi na aye...*
.
Dil main tofan uth raha hai aj jane ku...*
.
Kahe honton par pehir tera naam na a jaye...*
.
Hum dua kertay hai khuram aj k...*
.
Ya rab halki halki barish mai yaad kisi ko kisi ki na aye...*

Tanhaiy0n K Bich


Poet Hafiz Khuram


Chor jay gay tum ko tanhaiy0n k bich...*
.
Dhond'te phiro gay parchaiy0n k bich...*
.
Kap'kapaht se tari ho jay gi jisam mein...*
.
Chlo gi jab shail kinar0n k bich...*
.
Hath na aye ga kuch bhi tumhare...*
.
Udas ho jao gay shaniy0n k bich...*
.
Likhte likhte khuram ashk bah jay gay...*
.
Socho gay jab hum ko gazl0n-e-sal0n k bich...*

Tuesday, 17 June 2014

Poet Hafiz Khuram

=>Husn-e-ishq mein teray jaan-e-wabal ho gai...*
.
Ibtda ki thi tere naam say pr inetha ho gai...*
.
Mily jab tum zindgi bani janat...*
.
Bichar k tum se meri har sans khafa ho gai...*
.
Ja'baja zor tha taiz hawaon ka...*
.
Badla jo rukh hawa ka to barsat ho gai...*
.
Itni muhabbat kar k bhi Khuram tanha rah gay...*
.
Ay khuda tu hi bata hum se kya khata ho gai...*

Thursday, 12 June 2014

Poet Waqas Mehmood Hashmi


=>Main tanha akela phirta raha tere sheher mein,
Qadam larrkharratey rahe, chalta raha tere sheher mein,
Teri talash main bhatakta raha galiyon mein ban ke awaara,
Pata tera har kisi se poochta raha tere sheher mein,
Ajab maseeha hai tu ke tujh ko khabar tak na huyi,
Ik mareez tera dard se tarrpta raha tere sheher mein,
Hazaron rishtey, hazaron manzilain thi mere samney,
Kon sa rasta kon si manzil meri, sochta raha tere sheher mein,
Kisi ne sahara deke bachaya, kisi ne manzil se bhatkaya,
Tamasha bani zaat meri aur mein, tamasha dekhta raha tere sheher mein,
Kabhi kanton pe chalaya geya, kabhi deke hansi rulaya geya,
Tere milney ki aas main Waqas gham sehtaa raha tere sheher mein

Wednesday, 11 June 2014

Poet Waqas Mehmood Hashmi


=>Uljhey huye hain halaat gham-e-yaar ki tarah,
Zindagi guzaar to rahe hain magar ik beemar ki tarah,
Najane mere shoq-e-safar ko kis ki nazar lag gayi,
Manzil ki jaanib rawaan dawaan hoon magar ik lachaar ki tarah,
Teri be'rukhi ik tarf to us ke na milne ki umeed,
Gham-e-yaar ki bhi aksar lagta hai gham-e-rozgar ki tarah,
Yeh daulat, shohrat, izat, yehi sab to khawb tha tumhara,
Sab paa ke bhi kyon hote ho sogwaar ki tarah,
Tareef teri main kya karoon aye chehra-e-benishaan,
Zulfain raat, hont gulaab, chaand lagta hai rukhsaar ki tarah,
Woh raat bhi kitni ajeeb thi jab woh mere qareeb thi,
Main pighal raha tha mom ban kar, woh dehek rahi thi gulnaar ki tarah,
Jis ko kho diya tum ne apni nadaaniyon se Waqas,
Ab kyon tarapte ho us ke liye pancchi beqaraar ki tarah..

Poet Tahir Ubaid Taj

Book Sab Tere Vaaste


=>Lamha lamha raat bhar ankhon mein utri chandni,
Thi teri rukhsaar si ujli, woh nikhri chandni,
Yaad hai woh sath tera aur tere kandhey ki shaal,
Sardiyon ki raat mein woh bheegi bheegi chandni,
Woh tera apni hi baahon mein simattna sharam se,
Aur tere masoom chehrey per woh simtti chandni,
Jab hawaa ke dosh pe sun'na meri bazm-e-ghazal,
Mujh se kehna hai mere aangan main bikhri chandni
Chand! ab to chand mera jaa basaa pardes mein,
Dil ko ab achi nahin lagti hai pheeki chandni..

Tuesday, 10 June 2014

Poet Tahir Ubaid Taj

Book Sab Tere Vaaste
Safar khizaan ka, bahaar manzil,
Hai fasilon ki shikaat manzil,
Mujhe ussi ne yeh khauf bakhsha,
Ke jis ne di thi udhaar manzil,
Ilaahi kuch tu hi silaa de,
Nazar ki hadh se guzaar manzil,
Tu jeet jaye ga, jeet mujh ko,
Tere galey ka hai haar manzil,
Tujhe talab thi ke mein bhi ro'un,
Aa dekh zaar-o-qitaar manzil,
Hird ka ultaa moaamla tha,
Gulaab rahain, to khaar manzil,
Jalaa ke nikla jo apne ghar ko,
Dhuaan si rahain, ghubaar manzil,
Ke meri sansain ukharr rahi hain,
Abhi to mujh ko pukaar manzil,
Khabar mili hai woh laut aya,
Ab us ke sar par se waar manzil,
Main aasmanon ko khaujta hoon,
Sunaa tha unke hai paar manzil,
Azal-abad ki talaash mein hai,
Ujaal rahain, sanwaar manzil,
Taaj khud hi kuch susst tha warna,
Talab mein thi be'qaraar manzil..

Poet ShumaiLa Ambreen LaiLa"

Is tarah seY wo pYaar deta heY...
DiL k JazbeY nikhaar deta heY...

Ye heY us ki nigaah ka Jaadu...
Raahato'n k khumaar deta heY...

Log kehteY hain chaand nikLa heY...
Wo Jo zuLfein sanwaar deta heY...

Aankh taLwaar LagneY Lagti heY...
Jb wo kaaJaL ki dhaar deta heY...

Doob JaateY hain Log nazro'n mein...
Wo kinaareY utaar deta heY...

Ek nazar us ko dekh Lena bhi...
DiL ko "LaiLa" Qaraar deta heY.....!!!

Hadd se hadd, hadd e gumaa'n tak k0i jaa sakta hai...

Dh0ondne uss k0 kahaan tak k0i jaa sakta hai...!

Kehkasha'n k0n si, uss husn ke halqe mein nahin...

Ha'n chala jaaye, jahaan tak k0i jaa sakta hai...

Kisi maan0os se lehje ka ishaara mil jaaye...

Mu'jzaa haaye bayaa'n tak k0i jaa sakta hai...

Kashti e shauq hai khatre ke nishaa'n se aagy...

Aur khatre ke nishaa'n tak k0i jaa sakta hai...

Phailte jaate hain hr simat w0 urrte gessu...

Raat ke saath kahaan tak k0i jaa sakta hai...!

Martbaa mera yehi hai k zamee'n zaad hun main...

S0 wahaan hun k jahaan tak k0i jaa sakta hai...

Raaste ishq ke aasaan nahin 'Amjad...

Ha'n magar jaa'n ke ziyaa'n tak k0i jaa sakta hai...!!!
.
Amjad Islam Amjad

Kiyon Tabiaat Kahin Theharti Nahi
Dosti Tau Udaas Karti Nahi
Hum Hamesha Ke Ser Chashm Sahi
Tujh Ko Dekhain Tau Aankh Bharti Nahi
Shab-e-Hijraan Bhi Roz-e-Bad Ki Tarah
Kutt Tau Jaati Hai Par Guzarti Nahi
Sher Bhi Aayton Se Kiya Kum Hein
Hum Pe Mana Wahi Utarti Nahi
Yeh Mohabbat Hai, Sun Zamany Sun
Itni Aasanion Se Marti Nahi
Jiss Tarah Tum Guzaarty Ho Faraz
Zindagi Iss Tarah Guzarti Nahi

Poet Ahmed Faraz

Dard kia hota hai batayein Gay kisi roz
Kamal ki Ghazal tum ko sunayein Gay kisi roz
Thi un ki zid k main jaaoun un ko manane
Mujh ko ye veham tha wo bulayein Gay kisi roz
kabi b maine to socha b nahi tha
Wo itna mere dil ko dukhayein Gay kisi roz
Har roz Sheshay se yehi poochta hoon main
Kia rukh pe tabassum sajayein Gay kisi roz
Urney do in parindon ko azaad fizaon mein
Tumhare hon agar to lout AAyein Gay kisi roz
Apne sitam ka dekh lena khud hi Saqi tum
Zakhum-e-jigar tamaam log dekhein Gay kisi roz.....

Poet Ahmed Faraz

Dukh fasana nahi k tujh se kahain
Dil bhi mana nahi k tujh se kahain,
Ek tu harf aashna tha magar
Ab zamana nahi k tujh se kahain,
Ae khuda dard e dil hai bakhshish e dost
Aab o daanaa nahi k tujh se kahain
Be tarah haal e dil hai aur tujh se
Dostana nahi k tujh se kahain
Qasidaa hum faqeer logon ka
Ek thikana nahi k tujh se kahain
Ab to barson se us gali men FaRAZ
Aana jaana nahi k tujh se kahain........

Poet Ahmed Faraz

Karoon na yaad magar kistrah bhulaoon ussay,
Ghazal bahana karoon aur gungunaoon ussay,
Wo khaar khaar hay shakh-e-gulab ki manind,
Main zakhm zakhm hon magar galay lagaoon ussay,
Yeah loog tazkaray kartay hain apnay logon k,
Main kaisay baat karon, Ab kahan say laoon ussay,
Magar wo zood-faramoosh zood-runj bhi hay,
K rooth jayay, Agur yaad kuch dilaoon ussay,
Jo humsafar sar-e-manzil bichar raha hay faraz,
Ajjab nahi hay, agur yaad bhi na aaon ussay…!

Poet Ahmed Faraz

Book Ghazal Bahana Karon

Ye kyaa ke sab se bayaan dil ki haalaten karani
Faraz tujh ko na aain muhabbaten karani
Ye qurb kyaa hai ke tuu saamane hai aur hamen
Shumaar abhi se judaai ki saten karani
Koi khudaa ho ke patthar jise bhi ham chaahen
Tamaam umr usi ki ibaadaten karani
Sab apane apanee qarine se muntazir us ke
Kisi ko shukr kisi ko shikaayaten karani
Ham apane dil se hain majabuur aur logon ko
Zaraa si baat pe barpaa qayaamaten karani
Milen jab un se to mubaham si guftaguu karanaa
Phir apane aap se sau-sau vazaahaten karani
Ye log kaise magar dushmani nibhaaten hain
Hamin ko raas na aain muhabbaten karani
Kabhi faraz naye mausamon men ro denaa
Kabhi talaash puraani raqaabaten karani…!!!!

Poet Ahmed Faraz

Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho
Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa hai ke tum ho
Yeh khwaab hai, khushboo hai, ke jhoNka hai, ke pal hai
Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke saayaa hai, ke tum ho
Is deed ki sahAat main kaiye rang hain larzaaN
Mein hooN ke koi aur hai duniya hai ke tum ho
DekhO yeh kisi aur ki aankhAin hain ke meri
DekhooN yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho
Yeh umr-e-gurezaaN kahin tahre to yeh jaanooN
Har saaNs main mujh ko yeh lag ta hai ke tum ho
Har bazm main mauzoo-e-suKhan dil zadgaaN ka
Ab kaun hai Shireen hai ke Laila hai ke tum ho
Ik dard ka phaila huA sahara hai ke mein hooN
Ik mauj main aaya huAa dariya hai ke tum ho
Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochai
Is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum ho
Aabaad hum aashufta sarOn se nahin maqtal
Yeh rasM abhi shehar main zinda hai ke tum ho
Ae jaan-e-Faraz itni bhi taufeeq kise thi
Hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tum ho

Poet Ahmed Faraz

Zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain
Jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain
Kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
Ab vahi log hamain abalapa kahte hain
Koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub
Ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain
Ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
Gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain
Jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
Ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain
Kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko faraz
Wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain

Poet Ahmed Faraz

Monday, 9 June 2014

Tu Meraa Pehla Piyar Sajan
Tu Dilbar Tu Dildaar Sajan,
Tu Phoolon Ki Mehkaar Sajan
Tu Gull Tu Hi Gulzaar Sajan,
Tu Qudrat Ka Shahkaar Sajan
Mukh Tera Hai Gulbahar Sajan,
Tu Jaan-e-Jigar Tu Jaan-e-Gazal
Tu Khushiyon Ka Deedaar Sajan,
Soorat Teri Bholi Bhaali
Hain Laal Haseen Rukhsaar Sajan,
Dil Ki Baaten Tum Se Karna
Main Bhoola Hoon Har Baar Sajan,
Main Buzdil Hoon Main Pagal Hoon
Yeh Kehte Hain Sab Yaar Sajan,
Tere Nain Bane Talwaar-e-Piyar
Main Zakhmi Main Lachaar Sajan,
Na Tum Se Jis Din Baat Kare
Dil Rehta Hai Bezaar Sajan,
Jis Janib Bhi Ab Dekhon Main
Har Rasta Hai Pur Khaar Sajan,
Tum Bhi Maano Ek Baat Meri
Ab Chor Chalen Ghar Baar Sajan.

Poet Ahmed Faraz

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain
Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain
Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain
Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain
Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain
Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain
Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain
Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain
Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain
Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain
Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain
Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain
Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain
Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain

Poet Ahmed Faraz

Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain theen bohat,
Wagarna tark-e-taluq ki soortain theen bohat,
Miley to toot roye na khul ke batain keen,
Ke jese ab dilon mein Kudurtain theen bohat,
Bula diye hain tere gham ne dukh zamane ke,
Khuda nahin tha tou pathar ki moortain theen bohat,
Dareeda peerhano ka khayal kya ata,
Ameer sheher ki apni zarooratain theen bohat,
Faraz dil ko nigahon se ikhtlaaf raha,
Wagarna sheher mein hum-shakal soortain theen bohat.

Poet Ahmed Faraz

Saturday, 7 June 2014

Hui Hai Shaam Tou aankhon mein Bas Gayaa Phir tu,
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tu,
Bohat Udaas Hai Ik ShaKhs Tere Jaane Se,
Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii Kii Khaatir tu,
Merii Misaal Ke Ik NaKhl-e-Khushk-e-Saharaa Huu.N
Teraa Khayaal Ke ShaaKh-e-Chaman Kaa Taa_ir tu,
Mai.n Jaantaa Huu.N Ke Duniyaa Tujhe Badal Degii
Mai.n Maanataa Huun Ke aisaa Nahii.n Bazaahir tu,
Ha.Nsii Khushii Se bichhar Jaa agar BichhaDnaa hai
Ye Har Maqaam Pe Kyaa Sochtaa Hai aaKhir tu,?
Faraz Tune Use Mushkilon Mein Daal Diyaa
Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu

Poet Ahmed Faraz

Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai
Phir Se Dilon Ke Zakham Nikhartay Jaatay Hain
Jhooti Sachi Taabeeron Ki Khwaahish Hai
Kaisay Kaisay Khwaab Bikhartay Jaatay Hain
Kaisay Kaisay Yaaron Ka Behroop Khula
Kaisay Kaisay Khoul Utartay Jaatay Hain
In Haalon Kab Apnay Aap Ko Dekha Tha ?
Kehnay Ko Din Raat Guzartay Jaatay Hain
Raahgeeron Ki Khamooshi Ko Gour Se Sun,
Yun Hai Jaisay Maatam Kartay Jaatay Hain
Kubhi Kubhi Koi Aisa Musaafir Aata Hai
Rastay Apnay Aap Sanwartay Jaatay Hain
Sheher-e-Ghazal Ki Galyon Mein Dilgeer Tere
Tujh Se Teri Baatain Kartay Jaatay Hain

Poet Ahmed Faraz

Phiray Ga TU Bhee Yun Hee Kuu-Ba-Kuu Hamari Tarah
Dareedah Daaman-o-Aashafta Muu Hamari Tarah
Kubhi Tou Sang Se Phootay Gi Aabajuu Gham Ki
Kubhi Tou Toot Ke Roye Ga TU Bhee Hamari Tarah
Palat Ke Tujh Ko Bhee Aana Hai Is Taraf Laikin
Lutaa Ke Qaafila-e-Rang-o-Buu Hamari Tarah
Wo Laakh Dushman-e-Jaan Ho Magar Khuda Na Karay
Ke Os Ka Haal Bhee Ho Huu-Ba-Huu Hamari Tarah
Hum Hee Faraz Sazawaar-e-Sang Kiun Tehray ?
Ke Aur Bhee Tou Hain Dewaana-e-Khuu Hamari Tarah

Poet Ahmed Faraz

Raatain Hain Udaas, Din Karry hain
Ay Dil Tere Honslay Baray Hain
Ay Yaad-e-Habib Sath Daina
Kuch Marhalay Sakht Aa Paray hain
Rukna Ho Agar Tou So Bahaanay
Jaana Ho Tou Rastay Baray Hain
Ab Kaisay Btayen Waja-e-Girya
Jab Aap Bhi Saath Ro Pary Hain
Ab Jaanay Kahan Naseeb Lay Jaye
Ghar Se Tou FARAZ Nikal Paray Hain

Poet Ahmed Faraz

Har Shaakh Chaman Ki Jal Rahi Hai
Kiya Baad-e-Muraad Chal Rahi Hai,
Hum Hain Ke Faraib Kha Rahe Hain
Duniya Hai Ke Chaal Chal Rahi Hai,
Yoon Dil Mein Hai Teri Yaad Jaise
Weerane Mein Aag Jal Rahi Hai,
Rukh Pher Liya Hai Jab Se Tune
Duniya Ki Nazar Badal Rahi Hai,
Dar Pesh Hai Aaj Bhi Wohi Surat-e-Haal
Jo Soorat-e-Haal Kal Rahi Hai,
Itni Bhi Faraz Bad Dili Kiya ?
Sambhlo ! Ke Fizaa Badal Rahi Hai

Poet Ahmed Faraz

Ab Ke Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milain
Jis Tarah Sukhe Huye Phool Kitabon Mein Milain
Dhoond Ujre Huye Logon Mein Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Milain
Gham-e-Duniya Bhi Gham-e-yaar Mein Shaamil Kar Lo
Nasha Bardhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milain
TU Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain Tou Kyun Hijabon Mein Milain ?
Aaj Hum Daar Pe Khainchay Gaye Jin Baaton Par
Kya Ajab Kal Wo Zamaanay Ko Nisaabon Mein Milain
Ab Na Wo Main Hun, Na TU Hai, Na Wo Maazi Hai Faraaz
Jaise Do Shakhs Tamannaa Ke Saraabon Mein Milain

Poet Ahmed Faraz
Book Dard_e_Ashoob

Teri Baatein Hi Sunaane Aaye
Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aaye
Phool khilte Hain To Ham Sochte Hain
Tere Aane Ke Zamaane Aaye
Aisi Kuch Chup Si Lagi Hai Jaise
Ham Tujhe Haal Sunaane Aaye
Ishq Tanha Hai Sar-e-Manzil-e-Gham
Kaun Ye Bojh Uthane Aaye ?
Ajnabi Dost Hamein Dekh K Ham
Kuch Tujhe Yaad Dilaane Aaye
Dil Dhadakta Hai Safar K Hangam
Kaash Phir Koi Bulaane Aaye
Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai
Shaayad Ab Hosh Thikaane Aaye
Kyaa Kahein Phir Koi Basti Ujdii
Log Kyun Jashn Manaane Aaye ?
So Raho Maut Ke Pehluu Mein Faraz
Neend Kis Vaqt Na Jaane Aaye

Poet Ahmed Faraz

Umar bhar ka maan toota, aur kya,
Morr aya, sath choota, aur kya,
Kon sach kehta hai, sach sunta hai kon,
Main bhi jhoota, tu bhi jhoota, aur kya,
Jaan se jaana zaroori to nahin,
Aashiqui mein sar to phoota, aur kya,
Rote huye laal pathar ho gaye,
Rafta rafta rang choota, aur kya,
Reh gaya tha yaad ka rishta faqat,
Akhrish yeh pul bhi toota, aur kya,
Us ki ankhain bhi kabhi sach bolti'n,
Dil to tha jhooton sa jhoota, aur kya,
Ghair to they ghair apne aap ko,
Sab se barh kar hum ne loota, aur kya,
aao dekho to zara baagh-e-wafaa,
Ab koi gul hai na boota, aur kya,
Fitna samaani mein yaksaan hain Faraz,
Apna dil ho ya kahuta, aur kya

Poet Ahmed Faraz

Jub Bhee Dil Khol Ke Roye Honge
Loog Aaraam Se Soye Honge
Baaz Auqaat Ba Majboori-e-Dil
Hum Tou Kia Aap Bhee Roye Honge
Subha Tak Dast-e-Sabaa Ne Kia Kia
Phool Kaanton Mein Piroye Honge
Wo Safeenay Jinhain Toofan Na Milay
Na-Khudaon Ne Duboyein Honge
Kya Ajab Hai Wo Milay Bhee Hon Faraz
Hum Kisi Dehaan Mein Khoye Honge

Poet Ahmed Faraz

Is Se Pehlay Ke Bewafa Ho Jayein
Kiun Na Ay Dost Ham Judaa Ho Jayein ?
TU Bhee Heeray Se Ban Gaya Patthar
Ham Bhee Kal Jaanay Kia Se Kia Ho Jayein
Hum Bhee Majboorion Ka Uzar Karain
Phir Kaheen Aur Mubtala Ho Jayein
Ab Ke Gar TU Milay Tou Ham Tujhse
Aisay Liptain Teri Qabaa Ho Jayein
Bandagi Ham Ne Chhod Di Hai Faraz
Kia Karain Jub Loog Khuda Ho Jayein

Poet Ahmed Faraz

Aansuon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne
Apni khabar Na Mili Kuch Aise khak Mein Milaya Us Ne,
Elzaam Mujh Pe Lagaaya Magar Bewafa khud Tha
Pehle Dewana Banaya Phir Mujhey Thukraya Us Ne,
Usko Mazaa Aata Hai Mujhko Sataane Mein
Mujhe Geeli Lakri ki Tarah Jalaya Us Ne,
Aaya Na Tha Us ko Wadaa Wafaa Karnaa
Logon ko Jhota Apni Wafa ka Qisa Sunaya Us Ne,
Tanhayon K Dard Se khoob Waqif Tha Woh FARAZ
Pher Bhi Dunya Mein Mujhe TANHA Baanaya Us Ne.

Poet Ahmed Faraz

qariib maut kharii hai zaraa Thahar jaao
qazaa se aankh lari hai zaraa Thahar jaao
thakii thakii sii fazaayen bujhe bujhe taare
ba.Dii udaas ghari hai zaraa Thahar jaao
nahin ummiid ki ham aaj kii sahar dekhen
ye raat ham pe kari hai zaraa Thahar jaao
abhii na jaao ki taaron kaa dil dharakataa hai
tamaam raat pari hai zaraa Thahar jaao
phir is ke baad kabhii ham na tum ko roken ge
labon pe saans arii hai zaraa Thahar jaao
dam-e-firaaq men jii bhar ke tum ko dekh to luun
ye faisale kii gharii hai zaraa Thahar jaao

Poet Ahmed Faraz

Chandni Raat Ko Saher Kehna
Dosto Yoon Nahi, Magar Kehna,
Ab Kahaan Woh Bahaar Phoolon Ki
Gul-e-Nargis Ko Chashm-e-Tar Kehna,
Bujh Chuke Hain MUhabbaton Kay Charagh
In Diyaaron Ko Ab Khandar Kehna,
Raah Mein Lutt Kay Baythne Waalo
Ab Kisi Ko Na Humsafar Kehna,
Khud Ujaagar Karo Hunar Apna
Dosron Ko Na Kam Nazar Kehna,
Hum Ko Awaargi Kay Parde Mein
Dil Ki Baaten Edhar Udhar kehna,
Zikar Teraa Gali Gali Karna
Haal Apna Nagar Nagar kehna,
Ab Goya Azaab-e-Jaan Hai Faraz
Jo Bhi Kehna Ho Soch Kar kehna

Poet Ahmed Faraz

Itne Bhi Tou Wo Khafaa Nahi Thay
Jaisay Kubhi Aashna Nahi Thay
Maana Ke Behem Kahan Thay Aisay
Per Yun Bhi Judaa Judaa Nahi Thay
Thi Jitni Bisaat, Ki Parastish
Tum Bhi Tou Koi Khudaa Nahi Thay
Had Hoti Hai Tanz Ki Bhi Aakhir
Ham Tere Nahi Thay, Jaa Nahi Thay
Kis Kis Se Nibhaatay Rafaaqat
Hum Loog Ke Bewafa Nahi Thay
Rukhsat Howa Wo Tou Mein Ne Dekha
Phool Itnay Bhi Khushnuma Nahi Thay
Thay Yun Tou Hum Oski Anjuman Mein
Koi Hamain Dekhta, Nahi Thay
Jab Osko Tha Maan Khud Pe Kia Kia
Tab Ham Bhi Faraz Kia Nahi Thay

Poet Ahmed Faraz

Beniyaaz-E-Gham-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jana,
Tum Bhi Auron Ki Tarah Mujhse Juda Ho Jana,
Main Bhi Palkon Pe Saja Lunga Lahoo Ki Boondein,
Tum Bhi Paabasta-E-Zanjeer-E-Heena Ho Jana,
Khalq Ki Sang-Zani Meri Khaton Ka Sila,
Tum Tou Masoom Ho, Tum Door Zara Ho Jana,
Ab Mere Waaste Tariyaq Hai Ilhaad Ka Zeher,
Tum Kisi Aur Pujaari Ke Khuda Ho Jana

Poet Ahmed Faraz

Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay
In Se Mat Mil Ke Inhain Rog Hain Khwaabon Waalay
Ab Meh-o-Saal Ki Mohlat Nahi Milnay Wali
Aa Chukay Ab Tou Shab-o-Roz Azaabon Waalay
Ab Tou Sab Dashna-o-Khanjar Ki Zabaan Boltay Hain
Ab Kahaan Loog Mohabbat Ke Nisaabon Waalay
Jo Dilon Per Hee Kabhi Naqab Zani Kartay Thay
Ab Gharon Tak Chalay Aaye Wo Naqaabon Waalay
Zindah Rehnay Ki Tamanna Ho Tou Ho Jaatay Hain
Faakhtaaon Ke Bhi Kirdaar Aqaabon Waalay
Na Mere Zakham Khilay Hain Na Tera Rang-e-Hina
Ab Ke Mausam Hee Nahi Aaye Gulaabon Waalay
Yun Tou Lagta Hai Ke Qismat Ka Sikander Hai Faraz
Magar Andaaz Hain Sab Khaana Kharaabon Waalay

Poet Ahmed Faraz

Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili

Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili
Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili
Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili
Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili
Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili
Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi "Faraz"
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili

Poet Ahmed Faraz

Poet Wasiq Ali


=>Ye Jo Saanp Seerhi Ka Khel Hy Abi Saath Thay Dono Ham Nawa...*
.
>Wo Bhi aik Pay Main Bhi aik Pay...*
.
>Usay Seerhi Mili Wo Charh Gaya Mujhe Raastay Me he Das lia...*
.
>Meray Bakht K Kisi Saanp Nay Bari Dour Say Parra lotna...*
.
>Zakham Kha K Apny Naseeb Ka Wo Ninaway Pay Ponch Gaya...*
.
>Me Dus 10 K Phair Me Gir Gya Usy 1 Number Tha Chahiye...*
.
>Jo Nhi Mila So Nhi Mila Mai Barha To Barhta Chala Gaya...*
.
>Bus ik Choky Ki baat Thi Par Us sy Jeetna Meri Maat Thi...*
.
>Mai Nay Jaan K Gotti Ghalt Cahli Aur Saanp k munh me daal di...*
.
>Ye Jo Pyar Ha Kabhi Sochna Yeh b sanp seerhi ka khel hai...*

Friday, 6 June 2014

Malbos Jab hawa ny badan sy cuhra Liye, D0sheezgaan-E-Subah ny chehry chupa Liye, Ham ny to apny Jism py zakhm0n k aainy, Har hadisy ki yaad Samjh kar Sajja Liye, Mezan-E-Addl tera Jhuka0 hai Jis taraf, Us simt sy dil0n ny bary zakham khaa Liye, L0g0n ki chadar0n py banati rahi wo ph0l, Paiwand us ny apni Qaba mai Sajja Liye, Dewaar kiya Giri mery kachy makaan ki, L0g0n ny mery Sehan main Rssty bana Liye, Har Hurmala k d0ush py turkash k0 daikh kar, Ma'a0n ny apni G0d mai Bachy chupa Liye, (Syed Subeet Ali Saba)

Wehshatain Barhti Gayin Hijr Ke Aazaar Ke Saath

Ab Tou Ham Baat Bhi Kartay Nahi Gham Khwaar Ke Saath

Ab Tou Ham Ghar Se Nikaltay Hain Tou Rakh Detay Hain

Taaq Per Izzat-e-Saadaat Bhi Dastaar Ke Saath

Ek Tou Khwaab Lye Phirtay Ho Galyon Galyon

Os Pe Takraar Bhi Kartay Ho Kharidaar Ke Saath

Is Qadar Khauf Hai Os Sheher Ki Galyon Mein Ke Loog

Chaap Suntay Hain Tou Lag Jaatay Hain Deewaar Ke Saath

Ham Ko Os Ehad Mein Taameer Ka Soda Hai Jahan

Loog Maymaar Ko Chun Daitay Hain Deewaar Ke Saath

Poet Ahmed Faraz

Is Qadar Musalsal Thee.n Shiddatain Judayi Ki
Aaj Pheli Baar Os Se Mein Ne Bewafaayi Ki
Warna Ab Talak Yun Tha Khwahishon Ki Barish Mein
Ya Tou Toot Kar Roya Ya Ghazal Saraayi Ki
Taj Dia Tha Kal Jin Ko Ham Ne Teri Chaahat Mein
Aaj Un Se Majbooran Taaza Aashnaayi Ki
Ho Chala Tha Jab Bhi Mujh Ko Ikhtilaaf Apnay Aap Se
TU Ne Kis Gharri Zaalim Meri Hamnawaayi Ki ?
Tark Kar Chukay Qaasid Ko-e-Na-Muraada.n Ko
Kon Ab Khabar Laaway Sheher-e-Aashnaayi Ki ?
Tanz-o-Taana-o-Tohmat Sab Hunar Hain Na Siha Ke
Aap Se Koi Poochay Ham Ne Kia Buraayi Ki ?
Phir Qafas Mein Shor Utha Qaidyon Ka Aur Sayyaad
Dekhna Urra De Ga Phir Khabar Rihaayi Ki
Dukh Howa Jab Os Dar Pe Kal "Faraz" Ko Dekha
Laakh Aib Thay Os Mein Khuu Na Thi Gadaayi Ki

Poet Ahmed Faraz

Faraz" Ab Koi Sodaa Koi Junoo.n Bhi Nahi
Magar Qaraar Se Din Kat Rahay Hon Yun Bhi Nahi
Lab-o-Dehan Mila Guftuguu Ka Fun Bhi Mila
Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuun Bhi Nahi
Na Jaanay Kiun Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain
Jo Sach Kahuun Tou Kuch Aisa Udaas Hun Bhi Nahi
Meri Zabaa.n Ki Luknat Se Badgumaa.n Na Ho
Jo TU Kahay Tou Tujhe Umer Bhar Miluun Bhi Nahi
Dukhon Ke Dhair Lagay Hain Ke Loog Baithay Hain
Is Diyaar Ka Mein Bhi Hun Aur Hun Bhi Nahi
"Faraz" Jaisay Diya Qurbat-e-Hawaa Chaahay
Wo Paas Aaye Tou Mumkin Hai Mein Rahuun Bhi Nahi

Poet Ahmed Faraz

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia
Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia
Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia
"Faraz" Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia

Poet Ahmed Faraz

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain,
Faraz ab zara lehja badal ke dekhte hain,
Judaeyaan tau muqaddar hain phir bhi ay jaan-e-safar,
Kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain,
Rah-e-wafa mein hareef-e-kharaam koi to ho,
Sau apne aap se aagay nikal ke dekhte hain,
Tu samnay hai tau phir kyon yaqeen nahi aata,
Yeh baar baar jo aankhon ko mall ke dekhte hain,
Yeh kaun log hain moujood teri mehfil mein,
Jo lalichoon se tujhe, mujh ko jall ke dekhte hain,
Yeh qurb kya hai ke yakjaan huye na door huye,
Hazaar aik hi qaalib mein dhall ke dekhte hain,
Na tujh ko maat huyi hai na mujh ko maat huyi,
Sau ab ke dono hi chaalen badal ke dekhte hain,
Yeh kaun hai sar-e-saahil ke doobnay walay,
Samundaroon ki taho'n se ucchal ke dekhte hain,
Abhi talak tau na kundan huye na raakh huye,
Hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain,
Bohat dinon se nahi hai kuch us ki kher khabar,
Chalo Faraz kuu-e-yaar chal ke dekhte hain…

Poet Ahmed Faraz

Thursday, 5 June 2014

Poet Basher Badar

Book Aahat


=>Jab raat ke tanhai dil ban k dahrakte hai...*
.
>Yaad0n k darech0n mein chelmeen se sarakte hai...*
.
>Lobaan mein chengare jaise k0i rakh jaye...*
.
>Yuh yaad teri shab bhar seene mein sulagte hai...*
.
>Yuh pyar nahe chupata palk0n k jhukne se...*
.
>Aankh0n k lafaf0n mein tahrer chamakte hai...*
.
>Khus rang parind0n k lout ane k din aye...*
.
>Bichre howe milte hain jab baraf peghalte hai...*
.
>Shohrat ke bulandi bhe paal bhar ka tamasha hai...*
.
>Jis daal pe baithe ho wo tot bhe sakte hai...*

Main us ka d0st hun w0 aitraaf karta tha...

Magar w0 baaten bhi mere khilaaf karta tha...

Suna hai gir ke mara baadal0n ki seerhi se...

W0 aasmaan ki chhat mein shagaaf karta tha...

Bana hua hai w0 chh0ta sa ek darbaari...

Mizaaj e shaah se j0 ikhtilaaf karta tha...

Kamaal hai k hua w0 bhi nazar e be'khabari...

J0 hum pe r0z naye inkshaaf karta tha...

Janaab e shaikh se pehle khuda bhi tha munsif...

Magar w0 sub ki khataayen maaf karta tha...

W0 qatl h0 gaya bad'suurat0'n ki mehfil mein...

J0 saare shahar ke aaine saaf karta tha...

'Qateel ab t0 mazaar0n ka bhi hai w0 qaail...

Khuda se bhi j0 kabhi inhiraaf karta tha...!!!
.
Qateel shifai

Poet Ramesh 'Kanwal'


Khuda ke dar pe main apni ibadaten rakh dun

Tumhare mathe pe khushiyon ki aayaten rakh dun


Badan nawaz badan ki sharafaten rakh dun

Main shab ki baanhon men din ki imaraten rakh dun


Shareef logon ki bachkana harkaten rakh dun

Ghareeb logon ki basti men aafaten rakh dun


Tumhai jheel si aankhon ki gar ijazat ho

Tumhare honton pe apni muhabbaten rakh dun


Tumhare jude men taza gulab sajta rahe

Tumhari saanson men khusboo ki wuswaten rakh dun


Baghair jhoot ke ghar baar chal nahin sakta

Qareeb aao main sach ki nazakaten rakh dun


Badan pe tairte saawan ki woh ibarat hai

Ye dil ki zid ki main us par waseeaten rakh dun


Tere baghair to lagta tha jee na paaounga

Tere baghair bhi zinda hun azmaten rakh dun


'Kanwal' main 'Anna' ke hamrah chal bhi sakta hun

Agar kahin pe ye ghar ki zaruraten rakh dun

Poet Mirza Ghalib

=>Dil mera soz-e-nihan se bemuhaba jal gaya...*
.
>Aatish-e-Khamosh ke manind goya jal gaya...*
.
>Dil men zauq-e-vasl-o-yaad-e-yaar tak baaqi nahin...*
.
>Aag is ghar men lagi aisi ki jo tha jal gaya...*
.
>Main adam se bhi pare hun warna Gaafil! baraha...*
.
>Meri aah-e-aatashin se baal-e-anqa jal gaya...*
.
>Arz kije jauhar-e-andesha ki garmi kahan...*
.
>Kuch Khayaal aaya tha vahashat ka ki sehara jal gaya...*
.
>Dil nahin tujh ko dikhata varna daaGon ki bahar...*
.
>Is charaGan ka karun kya kara farma jal gaya...*
.
>Main hun aur afsurdagi ki aarazu "Ghalib"! ke dil...*
.
>Dekh kar tarz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya...*

Poet Mirza Ghalib

=>Dhota hun jab main pine ko us simatan ke paanw...*
.
>Rakhata hai zid se khench kar baahar lagan ke paanw...*
.
>Di sadagi se jaan parun kohakan ke paanw...*
.
>Hai haat kyon na tut gae pirazan ke paanw...*
.
>Bhage the ham bahut so usi ki saza hai ye...*
.
>Ho kar asir dabate hain rahazan ke paanw...*
.
>Maraham ki justaju men phira hun jo dur'dur...*
.
>Tan se siva fiGaar hain is Khasta tan ke paanw...*
.
>Allaah re zauq-e-dashtan'vardi ke ba'ade-marg
hilate hain...*
.
>Khud-ba-Khud mere andar kafan ke paanw...*
.

>Hai josh-e-gul bahar men yan tak ki har taraf...*
.
>Urate hue ulajhate hain murG-e-chaman ke paanw...*
.
>Shab ko kisi ke Khvab men aya na ho kahin...*
.
>Dukhate hain aaj us but-e-nazuk'badan ke paanw...*
.
>'Ghalib' mere kalaam men kyon kar maza na ho...*
.
>Pita hun Khusro-e-shirin'suKhan ke paanw...*

Poet Mirza Ghalib

=>Dard minat'kashe-dava na hua...*
.
>Main na acha hua bura na hua...*
.
>Jama karate ho kyon raqibon ko...*
.
>Ik tamasha hua gila na hua...*
.
>t5Ham kahan qismat azamane jaayen...*
.
>Tu hi jab Khanjar azama na hua...*
.
>Kitane shirin hain tere lab ke raqib...*
.
>Galiyan kha ke be'maza na hua...*
.
>Hai Khabar garm un ke aane ki...*
.
>Aj hi ghar men boriya na hua...*
.
>Kya wo na'marud ki Khudai thi...*
.
>Bandagi men mera bhala na hua...*
.
>Jaan di di hui usi ki thi...*
.
>Haq to yun hai ke haq ada na hua...*
.
>ZaKhm gar dab gaya lahu na thama...*
.
>Kaam gar ruk gaya rava na hua...*
.
>Raha zani hai ki dil'sitane hai...*
.
>Le ke dil dil'sitan rava na hua...*
.
>Kuch to parhiye ki log kahate hain...*
.
>Aaj 'Ghalib' Gazal'sara na hua...*

Poet Mirza Ghalib

=>Dayam para hua tere dar par nahin hun main...*
.
>Khak aisi zindagi pe ke pathar nahin hun main...*
.
>Kyun gardish-e-mudam se ghabara na jaye dil...*
.
>Insaan hun pyala-o-saaGar nahin hun main...*
.
>Ya'rab! zamana mujh ko mitata hai kis liye...*
.
>Lauh-e-jahan pe harf-e-mukarar nahin hun main...*
.
>Had chahiye saza men uqubat ke waaste...*
.
>AKhir gunahagar hun kaafir nahin hun main...*
.
>Kis waste aziz nahin janate mujhe...*
.
>Laal-o-zumarud-o-zar-o-gauhar nahin hun main...*
.
>Rakhate ho tum qadam meri aankhon se kyun dareg...*
.
>Rutabe men mahr-o-maah se kamatar nahin hun main...*
.
>Karate ho mujh ko mana-e-qadam'bos kis liye...*
.
>Kya asman ke bhi barabar nahin hun main...*
.
>'Ghalib' wazifa'Khwaar ho do shaah ko dua...*
.
>Wo din gaye ki kahate the naukar nahin hun main...*

Poet Mirza Ghalib

=>Chahiye achon ko jitana chahiye...*
.
>Ye agar chahen to phir kya chahiye...*
.
>Sohabat-e-rinda se wajib hai hazar...*
.
>Ja-e-mai apane ko khencha chahiye...*
.
>Chahane ko tere kya samajha tha dil...*
.
>Bare ab is se bhi samajha chahiye...*
.
>Chaak mat kar jeb be ayam-e-gul...*
.
>Kuch udhar ka bhi ishara chahiye...*
.
>Dosti ka parda hai beganagi...*
.
>Munh chupana ham se chora chahiye...*
.
>Dushmani men meri khoya Gair ko...*
.
>Kis qadar dushman hai dekha chahiye...*
.
>Apani rusvai men kya chalati hai sai...*
.
>Yaar hi hangama aara chahiye...*
.
>Munhasir marane pe ho jis ki umid...*
.
>Na'umidi us ki dekha chahiye...*
.
>Gaafil in mah tala'aton ke vaaste...*
.
>Chahane wala bhi acha chahiye...*
.
>Chahate hain Khubaruon ko Asad...*
.
>Ap ki surat to dekha chahiye...*

Poet Mirza Ghalib

=>Bahot sahi Gam-e-geti sharab kam kya hai...*
.
>Gulaam-e-saqi-e-kausar hun mujh ko Gam kya hai...*
.
>Tumhari tarz-o-ravish janate hain ham kya hai...*
.
>Raqib par hai agar lutf to sitam kya hai...*
.
>SuKhan men Khama-e-Gaalib ki atash'afashani...*
.
>Yaqin hai ham ko bhi lekin ab us men dam kya hai...*

Poet Mirza Ghalib

=>Arz-e-niyaz-e-ishq ke qabil nahin raha...*
.
>Jis dil pe naaz tha mujhe vo dil nahin raha...*
.
>Jata hun daag-e-hasarat-e-hasti liye hue...*
.
>Hun shama-e-kushta daraKhur-e-mahafil nahin raha...*
.
>Marane ki ai dil aur hi tadabir kar ki main...*
.
>Shayan-e-dast-o-baazu-e-qaatil nahin raha...*
.
>Ba-ru-e-shash jihat dar-e-aaina baaz hai...*
.
>Yaan imtiaz-e-na'kis-o-qaamil nahin raha...*
.
>Wa kar diye hain shauq ne band-e-naqaab-e-husn...*
.
>Gair az nigaah ab koi hail nahin raha...*
.
>Go main raha rahin-e-sitam haye rozagar...*
.
>Lekin tere Khayal se Gaafil nahin raha...*
.
>Dil se hawa-e-kisht-e-vafa mit ke waan...*
.
>Hasil sivaye hasrat-e-haasil nahin raha...*
.
>Bedaad-e-ishq se nahin Darata magar 'Asad'...*
.
>Jis dil pe naaz tha mujhe wo dil nahin raha...*

Poet Basher Badar


Book Aasmaan

=>Hamare hath mein aik shakal chand jaise the...*
.
>Tumhein yeh kesay baataien wo raat kesi the...*
.
>Mehak rahy thay meray hont us ke khusbo0 se...*
.
>Ajaib aag the bel'kul gulaab jaise the...*
.
>Es mein sab the meri maa, behn bhe biwe bhe...*
.
>Samjh raha tha jise mein wo aise waise the...*
.
>Tumahare ghar k sabhe rast0n ko kaat gai...*
.
>Hamare hath mein koi lakeer aise the...*

Poet Saad Ullha Shah


Book Dho0p Ka Chand

=>Phol khushbo k nashe he mein bikhar jatay hain...*
.
>Log pehchan banate howe maar jatay hain...*
.
>Manzelay en ka muqadr k talab ho jin ko...*
.
>Be'talab log to manzel se guzar jatay hain...*
.
>Koi hota hai kahen kbm banane wala...*
.
>Aik be'garta hai to so0 kaam sanwar jatay hain...*
.
>Jin ki ankho mein ho anso enhain zindha samjho...*
.
>Pani maarta hai to darya bhe utar jatay hain...*
.
>Neche parwaz mein urna nahe ata hum ko...*
.
>Uncha urtay hain to es jisam se paar jatay hain...*
.
>Main tah-e-dasht hon or barah yeh sochta hon...*
.
>Es tarha log kahan lout k ghar jatay hain...*
.
>Dekh lena yahe waqat na ho chalne ka...*
.
>Aap kahte hain to paal bhar ko thahar jatay hain...*

Poet Wasif Ali Wasif


Book Shabe Chiragh


=>Har insaan yahe kahta hai dekho to ab kya hota hai...*
.
>Raste mein deewar khari hai itna to sab ko dekhta hai...*
.
>Char0n simat andhera pehla aise mein kya rasta sojhe...*
.
>Purbat sar par tot rahe hain panw mein darya behta hai...*
.
>Meri sundarta k gahnay cheen k wo kahta hai mujh se...*
.
>Wo insan bohat acha hai jo har haal mein rahta hai...*
.
>Aik chehre se pyar karon mein aik se khof lage hai mujh ko...*
.
>Aik chehra aik aaina hai aik chehra pathr lagta hai...*
.
>Mein taqder zamane bhar ke har insan muqadr tera...*
.
>Juram kisi ka chalte chalte meray he saar a'parta hai...*
.
>Kitne jalwon se guzra hon kitne manzar dekhe main ne...*
.
>Ab bhe ankh ojhal hai wo jo meray dil mein rahta hai...*
.
>Dhop or cho0n se banta hai hasti ka afsana wasif...*
.
>Bahr jate hain waham k saye bazam ka suraj jab dahlta hai...*

Wednesday, 4 June 2014

Poet Mazhar qasem mazhar

Book Asoodagi Udas Lamhon Ki


=>Dil-o-nigah mein ulfat basa gaya wo shakhs...*
.
>Meray khalus ko necha deikha gaya wo shakhs...*
.
>Nekal k aya tha jo ajnabi darich0n se...*
.
>Khulos-e-pyar se apna bana gaya wo shakhs...*
.
>Jaga k jovat muhabbat ke ku meray dil mein...*
.
>Boht he dor kedhar ko chala gaya wo shahks...*
.
>Mila wo sham-o-sahr jab tak raha wo qareb...*
.
>Gaya jo dor to mujh ko bhola gaya wo shahks...*
.
>Sark gaya jo rukh-e-maah se gahna badal...*
.
>Haseen khuwab ke tabeer paa gaya wo shahks...*
.
>Galiy0n ke god mein kya dhondhte ho ab khushbo0...*
.
>Harm-o-gul ka taqadus chura gaya wo shahks...*
.
>Wo falsafe tha shaiyar tha rah'numa tha...*
.
>Khudi ko shan-e-muslman bata gaya wo shahks...*
.
>Boht zahen tha chalak tha magar mazhar...*
.
>Fakiya shaher ke baat0n mein agay wo shahks...*

Poet Saad Ullah Shah

Book Aik Kami Se Rah Gai


=>Ajeeb tarah se socha hai zindagi k liye...*
.
>K zakhm zakhm mein khilta hon har khushi k liye...*
.
>Wo mujh ko chor gaya tu mujhe yaqeen aaya...*
.
>Koi bhe shaks zarori nahi kisi k liye...*
.
>Use khabr hai k us ka koi nahi apna...*
.
>Ik ashnai bhe kafi hai ajnabi k liye...*
.
>Khata kisi ki ho lekin saza kisi ko milay...*
.
>Ye baar jabar ne chori hai har sadi k liye...*
.
>Ye saadgi thi meri ya k Saad chahat thi...*
.
K mein ne khud ko kiya paish dil-lagi k liye...*

Poet Saghar Sadiqui

=>Mataa-e-Kausar-o-ZamZam k paimaane, teri aankhein...*
.
>Farishton ko bana deti hain deewaane, teri aankhein...*
.
>Jahaan-e-rang-o-bu uljha hua hai in k doron mein...*
.
>Lagi hian kaakul-e-taqdeer suljhaane, teri aankhein...*
.
>Ishaaron se dilon ko cheirr kar iqraar karti hain...*
.
>Uthaati hain bahaar-e-nau k nazraane, teri aankhein...*
.
>Wo deewaane zamaam-e-laala-o-gul thaam lete hain...*
.
>Jinhein mansoob kar deti hain veeraane, teri aankhein...*
.
>Shagoofon ko sharaaron ka machalta roop deti hain...*
.
>Haqeeqat ko bana deti hain afsaane, teri aankhein...*

Poet Jigar Murad'Abadi

Book Khulliyat-e-Jigar


=>Ghum moatbar nahe hai mukamal khusi nahe...*
.
>Kya waqat k lutaf muhabbat mein bhe nahe...*
.
>Yeh to nahe k mujh kar mein kashti nahe...*
.
>Lekin abhe nahe meray saqi abhe nahe...*
.
Taskher-e-mahr-o-maah mubarik tujhe magar...*
.
>Dil mein nahe agar to kahen roshne nahe...*
.
>Vaaiz ab or kya kaho lekin khata maaf...*
.
>Jo teray samne hai haqeqat wohe nahe...*
.
>Kya jane yeh k0n sa aalam hai aye jigar...*
.
>Dil muztarib hai or koi baat bhe nahe...*

Poet Ejaz Fer0z Ejaz

Book Phool Phool Khusbo

(Tum Yaad Ate Ho)


=>En kale lambi raat0n mein tum yaad ate ho...*
.
>Ku mujh ko baataon baataon mein tum yaad ate ho...*
.
>Ankain pur'naam se rahte hain har pal jaan-e-jaan...*
.
>Jab ashk0n ki barsat0n mein tum yaad ate ho...*
.
>Yeh hijar ki shab be'lazat se or zulam tanhai...*
.
>En bakhshi howe sokhaton mein tum yaad ate ho...*
.
>Har lamha aik sadi lagta hai furkat mein jana...*
.
>Aksar jab chandni rataon mein tum yaad ate ho...*
.
>Sahna zakhm-e-jigar hans kar ejaz yeh pehir kehna...*
.
>Sapn0n ki en barat0n mein tum yaad ate ho...*

Poet Basheer Badr

Book Allah Hafiz

typ3 by

*._.1st-kInG._.*

=>Ajab musam hai meray har qadam pe phol rakhta hai...*
.
>Muhabbat mein muhabbat ka farishta sath chalta hai...*
.
>Har anso mein koi tasveer aksar jehl'melate hai...*
.
>Tumhein ankhein batein gi diy0n mein k0n jalta hai...*
.
>Mein Jab so jao in aankh0n pe apne h0nt rakh daina...*
.
>Yaqeen ajaye ga palk0n tale bhe dil dharkta hai...*
.
>Bara ho kar kahen mandir kahen masjid banaye gay...*
.
>Yeh bacha dekhna schol jane se bhe darta hai...*
.
>Bohat se kaam ruk jate hain mein bahir nahe jata...*
.
>Tumhari yaad ka lehja kaha taa'lay se taal'taa hai...*
.
>Muhabbat ghum ke barish hai zameen sar'sabz hote hai...*
.
>Bohat se ph0l kehltein hain jaha badal barasta hai...*

=>Sun le jo khuda ne wo dua tum to nahe ho...*
.
>Darwaze pe dastak ke sada tum to nahe ho...*
.
>Samaite howe sharmae howe raat ke rani...*
.
>Soye howe qaliy0n ke haya tum to nahe ho...*
.
>Mehsos kiya tum ko to gele howe palke...*
.
>Bhegay howe musam ki ada tum to nahe ho...*
.
>In ajnabi rahon mein nahe koi bhe mera...*
.
>Kis ne mujhe yuh apna kaha tum to nahe ho...*

Poet Basher Badar


Book Aahat

Tuesday, 3 June 2014

Kitaab-E-Aarzoo K Gumshuda Kuch Baab Rakhay Hain.

Teray Takiye K Nechay Bhi Humharay Khuwab Rakhay Hain.

Makaan Tu Satha-E-Derya Per Banay Hababoon Nay
Asasay Ghar K Laykin Sab Nay Zeer-E-Aab Rakhay Hain.

Ye Kankar In se Pehlay Haath Per Lehrein Bana Lay Ga.
Humhari Rah Main chahat Nay Jo Talaab Rakhay Hain.

Kinraoon Per Ponch Kar Tee
Ay Lagti Hain Tasweerein
Samander Nay Safenay Tu Pas-E-Gidaab Rakhay Hain.

Humharay Ghar Ki Bunidyadon K Pathar Kia Howay Akhir
Kahin Toofan K Tukray Kahin Selaab Rakhay Hain.

Teray Aanay Se Pehlay Jin Ko Murjhanay Ki Jaldi Thi
Wohi Pattay Hawa-E-Hijar Nay Shadab Rakhay Hain

=>Aamad-e-Khat se hua hai sard jo bazar-e-dost...*
.
>Dud-e-shama-e-kushta tha shayad Khat-e-ruKhsar-e-dost...*
.
>Ai dil na'aqabat andesh zabt-e-shauq kar...*
.
>Kaun la sakata hai taab-e-jalva-e-didaar-e-dost...*
.
>Khana wiran saazi-e-hairat tamasha kijiye...*
.
>Surat-e-naqsh-e-qadam hun rafta-e-raftar-e-dost...*
.
>Ishq men bedad-e-rashq-e-Gair ne mara mujhe...*
.
>Kushta-e-dushman hun aaKhir garche tha bimar-e-dost...*
.
>Chashm-e-may raushan ke us bedard ka dil shaad hai...*
.
>Dida-e-pur-Khun hamara saagar-e-sar-shaar-e-dost...*

Poet Mirza Ghalib

=>Aaina kyun na dun ke tamasha kahen jise...*
.
>Aisa kahan se laun ke tujh sa kahen jise...*
.
>Hasarat ne la rakha teri bazm-e-Khayaal men...*
.
>Guladasta-e-nigah suweda kahen jise...*
.
>Phun ka hai kis ne goshe muhabbat men ai Khuda...*
.
>Afasun-e-intazar tamana kahen jise...*
.
>Sar par hujum-e-dard-e-Garibi se Daliye...*
.
>Wo ek musht-e-Khaak ke sahara kahen jise...*
.
>Hai chashm-e-tar men hasarat-e-didaar se nihaan...*
.
>Shauq-e-inaam guse Khta dariya kahen jise...*
.
>Darakar hai shiguftan-e-gul haaye aish ko...*
.
>Subh-e-bahaar panba-e-mina kahen jise...*
.
>"Ghalib" bura na maan jo waaiz bura kahe...*
.
>Aisa bhi koi hai ke sab acha kahen jise...*

Poet Mirza Ghalib

=>Aah ko chahiye ik umr asar hone tak...*
.
>Kaun jita hai teri zulf ke sar hone tak...*
.
>Daam har mauj men hai halqaa-e-sad_kaam-e-nahang...*
.
>Dekhen kya guzare hai qatare pe gauhar hone tak...*
.
>Aashiqi sabr-talab aur tamana betaab...*
.
>Dil ka kya rang karun Khun-e-jigar hone tak...*
.
>Ham ne maana ke tagaful na karo ge lekin...*
.
>Khaak ho jayen ge ham tum ko Khabar hone tak...*
.
>Partaw-e-Khur se hai shabanam ko fana ki taalim...*
.
>Main bhi hun ek inaayat ki nazar hone tak...*
.
>Yak_nazar besh nahin fursat-e-hasti Gaafil...*
.
>Garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak...*
.
>Gam-e-hasti ka 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj...*
.
>Shama har rang men jalati hai sahar hone tak...*

Poet Mirza Ghalib

=>Aa ki meri jaan men qaraar nahin hai...*
.
>Taqat-e-bedaad-e-intazaar nahin hai...*
.
>Dete hain janat hayaat-e-dahar ke badale...*
.
>Nashsha ba'andaza-e-Khumar nahin hai...*
.
>Giriya nikale hai teri bazm se mujh ko...*
.
>Haaye! ki rone pe iKhtiyaar nahin hai...*
.
>Ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-Khaatir...*
.
>Khaak men ushshaq ki Gubaar nahin hai...*
.
>Dil se uTha lutf-e-jalva haaye ma'ani...*
.
>Gair-e-gul aaina-e-bahaar nahin hai...*
.
>Qatl ka mere kiya hai ahad to baare...*
.
>Waaye! agar ahad ustavar nahin hai...*
.
>Tu ne qasam mai'kashi ki khaai hai Ghalib...*
.
>Teri qasam ka kuch aitabar nahin hai...*

Poet Mirza Ghalib

=>MaiN ny us sAy pocha tha k kiya dhoop mey barish hoti hy...

Itny maiN wo ronY lagi our dhoop mAy bHarish hony lagi...

Wo apny dil ki baatain kisi or sAy karny lagi...

Paao'n mey paiyal ankhon mAy kajal hathon mAy choriya dalny lagi...

Lagta tha pyAar wo kisi sy karny lagi thi chor jay A na wo kahI...

Yahe soch k apny hathon ki choriya wo torny lagi...

Nakam os ki mohabbat hony lagi...

i wo pAas mery loUt kar phir aIk din mAy ny os sy oski mohabbat k baray maiN pocha...

To os ny mery hathon ko pakar kar Khuram apni ankhon par rakh liya..

Phir rone lagi or dhoop mey barish hony lagi...


Poet HaFiZ KhURraM

Ho MuBarik TuJy ShAaDi ki PhLi RaAt.....\
BePnAh HaI tUmSy HuMkO pYaAr.....\
WhO kAhTa ThA yEh BaR bAr.....\
UjAaR gYa WhO mErI zInDgI.....\
wHo KaRtY kArTy YhI bAaT.....\
dIl NaHi lAgTa Ab KhIn MeRa.....\
BeQaBo Ho GaY hAiN mErE jAzBaT.....\
jAb Sy GaY hO tM aB tO dIn Bi LaGtY hAiN rAaT.....\
tUm Ny ChOrA mErA hAaTh.....\
MuOo mAi Hi rAh GaI mErI hR bAaT.....\
kYuN tHaMa ThA mErA hAaTh.....\
Jb ChOr Ky ChLy Hi JaNa ThA mErA sAaTh.....\
JaTy JaTy WhO bS iTnA hI kH gYa.....\
ShAyD hMaRi QiSmAt MaI hI nAi HmArA sAaTh.....\
Khuram
DuA kRo BhOoL jAy HuM uNkI hR bAaT.....\
jA sAnAm MuBaRiK hO tUjY TeRi ShAaDi kI pHlI rAaT.....

Poet HaFiZ KhURraM

Poet Yasmeen Habeeb

Book Tinkoan Ka Dopata

typ3 by

*._.1st-kInG._.*

=>Aik dil mein tha aik samne darya use kahna...*
.
>Mumkin tha kahan paar utarna use kahna...*
.
>Hijraan k sumandar mein heewall tha kise ka...*
.
>Aamkan k bhanwar se koi ubahra use kahna...*
.
>Aik haraf ke kheriche kahe seenay mein chubhe the...*
.
>Pehron tha koi tot k roya use kahna...*
.
>Mudat howe khursed gaahn se nahe nekla...*
.
>Aisa kahe taara koi tota use kahna...*
.
>Jate the koi raah akale kise janib...*
.
>Tanha tha safar mein koi saya use kahna...*
.
>Har zakham mein darkan ke sada gonjh rahe the...*
.
>Aik hashar ka tha shor sharaba use kahna...*

Poet Jhon Elia

Book Shaayaad

typ3 by

*._.1st-kInG._.*

=>Aik Saya Mera Maseeha Tha...*
.
>Kon Janey Wo Kon Tha, Kya Tha...*
.
>Wo Faqat Sehen Tak Hi Aati Thi...*

>Mein Bhi Hujrey Sey Kam Nikalta Tha...*
.
>Tujh Ko Bhoola Nhi Wo Shakhs K Jo...*
.
>Teri Banhon Mein Bhi Akela Tha...*
.
>Jaan Leva Thi Khwahishein Warna...*
.
>Wasl Sey Intzar Acha Tha...*
.
>Baat To Dil Shikan Ki Hai Per Yaaro...*
.
>Aqal Sachi Thi Ishq Jhoota Tha...*
.
>Apney Myar Tak Na Pohancha Mein...*
.
>Mujh Ko Khud Per Bara Bharosa Tha...*

=>Mere mizaaj ka dushman gawaahi de...

Ke tera naam bhi laita hun mien dua ki tahra...

Hazaar tuhmatai'n duniya ne bakhsh diin mujh k0...

Mien aadmi tha magr chup raha khudaa ki tahra...!

(M0hsin)