Tuesday, 3 June 2014

=>Aa ki meri jaan men qaraar nahin hai...*
.
>Taqat-e-bedaad-e-intazaar nahin hai...*
.
>Dete hain janat hayaat-e-dahar ke badale...*
.
>Nashsha ba'andaza-e-Khumar nahin hai...*
.
>Giriya nikale hai teri bazm se mujh ko...*
.
>Haaye! ki rone pe iKhtiyaar nahin hai...*
.
>Ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-Khaatir...*
.
>Khaak men ushshaq ki Gubaar nahin hai...*
.
>Dil se uTha lutf-e-jalva haaye ma'ani...*
.
>Gair-e-gul aaina-e-bahaar nahin hai...*
.
>Qatl ka mere kiya hai ahad to baare...*
.
>Waaye! agar ahad ustavar nahin hai...*
.
>Tu ne qasam mai'kashi ki khaai hai Ghalib...*
.
>Teri qasam ka kuch aitabar nahin hai...*

Poet Mirza Ghalib

No comments:

Post a Comment