Wo koi or the dunya yeh hai dunya koi or
.
Ab koi or he yousaf hai zulakha koi or
.
Wohi basti wohi galiya wohi raste hain magar
.
Chasm-e-pur shoq koi or tamasha koi or
.
Daad milte hain bagalo se naart par mujh ko
.
Yuh na hota to yaha raqs mein hota koi or
.
Ham jahan shola be'jaan abal'paa rahte the
.
Nazr ata hai wohi khakh urata koi or
.
Hai wohi dil magr is dil mein makeen or koi
.
Sar wohi hai magr is sar mein hai soda koi or
.
Aankh bhar kar jise dekhey to nasha ho jaye
.
Ham ne dekha he nai aisa sarpa koi or
.
Kar liya hai dar-e-dil ko bi maqfal hum ne
.
Is kharabe mein chala aye mubada koi or
.
Hale mazi k sumandr mein utarta darya
.
Yani amroz se fard ka hai rishta koi or
No comments:
Post a Comment