Tuesday, 25 November 2014

Amjad Mir

Jaaz tery kuch nahi mera sab kuch
.
Tu howa to mera howa sab kuch
.
Wo samjhta tha baat lehron ki
.
Main ne pani pe likh diya sab kuch
.
Jeet chome gi phir qadam tery
.
To muhabbat mein haar ja sab kuch
.
Is dafa ai aise taghyani
.
Hijar darya mein baah gaya sab kuch
.
Us ne hont see liye lekin
.
Behgi palkon ne kah diya sab kuch

No comments:

Post a Comment