Sunday, 16 November 2014

Humaira Shama Rizvi

Khuda k baad nabi pak ka kalam kehna hai
.
Hussain ibne ali par sallam kehna hai
.
Hussain sabr-o-raza ka azeem paikar hai
.
Hussain ibne ali ko shahdat ka jaam kehna hai
.
Kisi yazeed ki beyaat kabhi nahe karni
.
Faqat hussain ko apna imaam kehna hai
.
Sabaq diya hai shahedan karbala ne mujhe
.
Ziya-e-sabr mein zaleem ko shaam kehna hai
.
Sab kar diya qurban jis ne islaam ki khatir
.
Rahe zuban pe hussain he ka naam kehna hai
.
Ali ali kaho to sab ghum dor hote hain
.
Ali ka hai boht oncha mukaam kehna hai
.
Nibhaa rahe hon muhabbat hussain se shama
.
K main ne khud ko ali ka gulaam kehna hai

No comments:

Post a Comment