Paaindaa karbalaa hai aik be'ridaa k sadqey
.
Islaam par ridaa hai aik be'ridaa k sadqey
.
Ishaaq ko khabar hai aye khana'kaba tera
.
Parda bana howa hai aik be'ridaa k sadqey
.
Wo raah shaam jis se guzrey the kuch musafir
.
Wo jagmaga raha hai aik be'ridaa k sadqey
.
Bikhre the baal jis k yeh is ka he karam hai
.
Har sar pe aab ri'daa hai aik be'ridaa k sadqey
.
Har jabar k mukabil haq ki azaan do gi
.
Yeh hosla mila hai aik be'ridaa k sadqey
.
Jab yeh islaam likha tab yuh laga mussarat
.
Razi khuda howa hai aik be'ridaa k sadqey
No comments:
Post a Comment