Zaabt ka aise imtehaan naa ley
.
Aae meri jaan meri jaan naa ley
.
Sans rukta hai tery rukne se
.
Waqfa baaton k darmiyan naa ley
.
Tark-e-ulfaat ka kahte daarta hon
.
Wo kahen meri baat maan naa ley
.
Yeh adaalaat nahi muhabbat hai
.
To mera halfiyaa biyaan naa ley
.
Kar mukamal safar towakaal se
.
Le safina to baad'baan naa ley
.
To kaha or jaanab qais kaha
.
Naam un ka aae baad'zubaan naa ley
.
Wisal or hijar se nikal khalid
.
Koi lamha kisi se daan naa ley
No comments:
Post a Comment