Thursday, 13 November 2014

Taslim Neyazi

Majod hon tamam wasail to kya karun
.
Main khud hun apni rah me hail to kya karun
.
Us ka hai intizar jo aata nahi kabhi
.
Shab bhar rahun na khud me hamail to kya karun
.
Jan us pe dun nisar ke dil sonp dun use
.
Wo ho kisi tarah bhi na qail to kya karun
.
Rothe to eik pal mein mana'lun sanam ko main
.
Lekin wo band kar le mobile to kya karun
.
Jo is ghazal dhan ko neyazi na ho pasand
.
Kar do main is ghazal ko na'zaaeel to kya karun

No comments:

Post a Comment