Yaar logon ki mehrbani say
.
Bolta hon mein aab rawani say
.
Waqat zaaya kiya abas mein nay
.
Aur kya paya khush'gumani say
.
Din dhalay aaj mein nay pani par
.
Naam likha hai us ka pani say
.
Kis qadar pur asar thi teri sada
.
Lout aaya mein la'makani say
.
Ghair aaya meri jaga khuram
.
Mein nikaala gaya kahani say
No comments:
Post a Comment