Tuesday, 11 November 2014

Saghar Sadfiqui

Mein Talkhi-E- Hayaat Se Ghabra Ke Pee,

Gham Ki Siyaah Raat Se Ghabra Ke Pee Gaya,

Itni Daqeeq Shay Koi Kaise Samajh Sake,

Yazdan Ke Waqiyat Se Ghabra Ke Pee Gaya,

Chalkay Howe Tha Jaam, Parishan Thi Zulf-E-Yaar,

Kuch Aise Haadsaat Se Ghabra Ke Pee Gaya,

Mein Aadmi Hon Koi Farishta Nahi Huzoor,

Mein Aaj Apni Zaat Se Ghabra Ke Pee Gaya,

Duniaye Hadsaat Hai Ek Dardnaak Geet,

Duniaye Hadsaat Se Ghabra Ke Pee Gaya,

Kaantay To Khair Kaantay Hein In Se Gila He Kia,

Pholon Ki Waardat Se Ghabra Ke Pee Gaya,

SAGHiR Wo Keh Rahe The Ke Pee Lijiye Huzoor,

Un Ki Guzarshaat Se Ghabra K Pee Gaya......!

No comments:

Post a Comment