Monday, 24 November 2014

Asif Anjum

Kisi k khuwab aankho mein saja kar hath kya aaya
.
Bata aye dil use apni suna kar hath kya aya
.
Kaha bhi tha wo suraj hai use chona nahi lekin
.
Bata yuh ungliyan apni jala kar hath kya aaya
.
Wo pathar tha jise main ne muhabbat ka khuda jana
.
Kisi ko pyar mein hadd se bahar kar hath kya aaya
.
Es k khuwab par aankhein sajai hain
.
Suno yuh nend apni he ganwa kar hath kya aaya
.
Chalo en mein is k hath ki khusbo bhi shamil the
.
Bata anjum k us k khat jala kar hath kya aaya

No comments:

Post a Comment