.
Qayamaat aa chuki ham par qayamaat aab nahi ho gi
.
Jise apna banaya tha jo raag raag mein samaya
.
Bohat be'dard nikla wo soo chahat aab nahi ho gi
.
Mera be'sood hai jena jahan dard mein tanha
.
Mujhe sansoo ki aye ham'dam zaroraat aab na ho gi
.
Majaz-e-ishq mein kho kar haqeeqat kho baitha tha
.
Khudaiya dar guzar karna shakayaat aab nahi ho gi
.
Mazhab k tasadam ne khuda taqseem kar dala
.
Kahein mandair kahein girjaa ibaadaat aab nahi ho gi
.
Biyaan aise na kar zamane ki haqeeqt ko
.
Wagarna jaan ki tujh se hefaazaat aab nahe ho gi
Book Muhabbat Dard Tanhai
No comments:
Post a Comment