Kuch batata bhi nahi aflaak mein kya kho gaya
.
Zard hota ja raha hai chand ko kya ho gaya
.
Aisa lagta hai k is janib koi aaseeb hai
.
Lout kar aya nahi hai is taraf jo bhi gaya
.
Yaad tha jangal mein ik jugno k kho jane ka dukh
.
Chand bhi rota howa tarikhiyon mein so gaya
.
Main k jis k waste aya tha taaye kar k safar
.
Jate jate wo mery raste mein kanta boo gaya
.
Is ne akhir aik na aik din chor jana tha mujhe
.
Phir bhala kya sochna jo ho gaya so ho gaya
.
Shehr ki dewaron pe amjad likha kuch bhi nahi
.
Aab k apna naam bhi wo barishon se dhoo gaya
No comments:
Post a Comment