Friday, 29 August 2014

Alvira Yasmeen Ali

Wo chup rehay bhi to mujh ko sunaein daita hai
.
Har aik chehra usi ka dekhaein daita hai
.
Kisi bhe cheez ki dil mein talab nahe baqi
.
Main khaak mango to mujh ko khudaein daita hai
.
Mujhe bhi ronaq duniya pasand hai lekin
.
Tera khayaal mujhe kab rehaein daita hai
.
Wo aik paal bhi mujhe chorta nahe tanha
.
Kabhe dekhaein kabhe wo sunaein daita hai
.
Yeh raat kaisay daraey gi mujh ko alvira
.
Ghum-e-firak mujhe khush naawaaein daita hai

Book Mehwer

No comments:

Post a Comment