Us ki naarm hathely par jab chand utarnay aya
.
Raat ne apne hathon se apni kali chadar ko
.
Pholo k gajrey se bandhey jhorey par latkaya
.
Aasman k sab hi taarey asman ko chorh k
.
Us ki chadar par aa bethey naram hawa ka natt khat jhonka
.
Zulfon ki zanjeer se aa kar baar baar takraya
.
Jugnu ghas ke sabz gharon se urtey urtey bahar nikley
.
Jheel k thahrey pani mein phir aj kanwal k phol khiley
.
Us ki ik muskan ne aisa manzar ko mahkaya
.
Saari dunya chor k main ye manzar dekhnay aaya
No comments:
Post a Comment