Friday, 29 August 2014

Sadaf Ghori

Dast-e-shab dil tak aa giya ab ke
.
Lo giya akhri diya ab ke
.
Thaaq dar thaaq raqs karti hai
.
Bais badley howey hawa ab k
.
Nigahat-e-gul ney je malo0l kiye
.
Muzmahil ho gayi fiza ab ke
.
Pa'bureeda hai log manzal per
.
Sar'bureeda hai hosla ab ke
.
Har nazar mein hain vehshatein raqsaan
.
Har qadam per hai karbala ab ke
.
Ab tu darhkan bhi ikhtitaam pe hai
.
Kiya karey gi teri wafa ab ke
.
Saf-e-maatam pe kiya sukhan daani
.
Jee jalaati hai waha! Wa ab ke

Book Mohabbat Aankh Mein Gum Hain

No comments:

Post a Comment