Friday, 29 August 2014

Jahan Zeb Khan

Taaluq bojh sa hai kyun uthaein
.
Jinhein jana hai kal wo aaj jaein
.
Mahabbat phir se zinda ho gai hai
.
Chalo phir se isay dafna k aaein
.
Ye basti gar hai insan0n ki basti
.
Saron py nachti kyun hein balaein
.
Khulay hein bad'ban jism0n ky lekin
.
Mukhalif chal rahi hein sab hawaein
.
Ye dil ujra to sara shehr ujra
.
Aab agay aor hum kya kya bataein
.
Tumharay baad keisay hal mein hein
.
Kabhi fursat se baitho to sunaein
.
Nishani jho0t ki zeb deikho
.
Unhen kehna kabhi qasmein na khaen

No comments:

Post a Comment