Dariya samait le wo sumandar nahin hun main
.
Basti ujaar de wo bawandar nahin hun main
.
Porus nahin ho tum mujhe is ka yaqeen hai
.
Kyun haar mante ho sikandar nahin hun main
.
Alfaaz sath dein to main ashar keh sakun
.
Lafzon ki jor tor mein behtar nahin hun main
.
Hai kaun maavera mere maula ki zaat se
.
Us ke to ek baal barabar nahin hun main
Itni umda najm fir bhi down to earth........ Subhanallah..:-) :-)
ReplyDelete