Friday, 8 August 2014

Fasil Azeem

Daal Rakha Hai Yahan Sanpo Nay Daayra Kya Karon?
.
Bas Gaya Hai Rooh K Andar Sapaira Kya Karon?
.
Shahr Main Lay Kar To Main Nikla Hun Ik Roshan Diyaa
.
Hai Magar Mere Taa'aaqub Main Andhaira Kya Karon?
.
Ab Nigaaho Main Koi Chahra Samata Hi Nahi
.
Khwab Karte Hai In Ankhon Main Basaira Kya Karon?
.
Tere Shikway Door Karna Ab Mere Bas Main Nahi
.
Main Nay To Andaz Apnaya Hai Tera Kya Karon?
.
Kaise Kar Lo Samjhota Shab E Tareek Say?
.
Maan Laita Hun Nahi Hoga Sawaira Kya Karon?
.
Chal Rahi Hai Dil Ki Dunya Main Bagawat Ki Hawa
.
Rahnuma Hi Ban Gaya Ho Jab Lutaira Kya Karon?
.
Baant Leen Sab Nay Mere Hissay Ki Sab Azadiyan
.
Hogaya Hai Tang Azadi Ka Ghaira Kya Karon?
.
Meri Khud Apne Garaybaan Tak Pohnch Mumkin Nahi
.
Band Rakha Hai Kisi Nay Hath Mera Kya Karon?
.
Book
Meri Ankhon Say Daikho

No comments:

Post a Comment