Banjh ho kar mujhe yaqeen aaya
Mera mosaam abhe nahi aayA
Kisi janat ko dekh kar pehlay
Zehan mein fitna-e-zameen aaya
Jo nahe tha kabhi muqaddar mein
Wo sitaara sar-e-jabeen aaya
Dhondhta hon main dost0n mein use
Khuwaab mein maar-e-aasteen aaya
Paavn rakh kar daba diya kis ne
Zalzala tha magar nahi aaya
Taab-e-joro jafa hamein mein the
Tujh sa qatil bhe phir yahen aaya
Zamzam zindagi ka wo bhe suna
Jo kisi shor k teyaan aaya
Jism par ch0t ka nishaan liye
Raqs karta howa nageen aaya
Aankh khole to sath takiya tha
Khuwaab mein jism-e-marmareen aaya
Sitr-e-zar bhe hai nazar andaaz
Aaj bhe is ka dil nahe aaya
Roz khud ko yaqeen dilata h0n
Mujh se behtaar koi nahi aaya
Book Kuwaab Ham'Safar
No comments:
Post a Comment