Monday, 13 April 2015

Syed Mubsrak Shah


Apni hadd se mawara h0ta nahi

Dard aisa hai dawa h0ta nahi

Is rawaiye ke shikayat kya kare

Roth jaye to khafa h0ta nahi

Wo jo mil kar bhe na haasil h0 saka

Kyun bichar kar bhe juda h0ta nahi

Ho khuda0n ka taslaat jis jaga

Is alakey mein khuda h0ta nahi

Bewafai ap apni maan ley

Koi itna bewafa h0ta nahi

Ihtiyaatan he saza ham ne kaat le

Jab talaak k faisla h0ta nahi

Book Hum Apni Zaat Kay Kaafir

No comments:

Post a Comment