En parind0n ka kahen dor thekana ho ga
Jo musafir hain inhein lout k jana ho ga
Aisey he teehass kahan uth'ti hai yak'lakht kahein.
Wo jo mehka tha koi zakhm purana ho ga
Tazkiya ro0h ka karna bhe zar0ri hai magar
Nafs-e-khud sar se tumhein khud ko bachna ho ga
Gumrahi deen se le jati hai toheed se dor
Pukht kardar ko siney se lagana ho ga
Kya kaha ham se inhein milne ke furst he nahi
Choro choro yeh naya koi bahana ho ga
K0n sota hai bahalaa qabar mein khud se jaa kar
Chaar (4) kandh0n pe miyaa tum ko bhe jana ho ga
No comments:
Post a Comment