Tuesday, 7 April 2015

Fahmida Fahmi


Wo apni zaat k andar duhaii daita hai

Wo khud se bichra howa kyun dekhai daita hai

Hawein chalte rahe chahye dasht-o-sehra mein

Misl-e-ghum koi ghungar0n sunai daita hai

Ye dil jo raat ke tarikiy0n mein chonk de

Naveed-e-subha talak bhe resaii daita hai

Khusi ke chaa mein itne fareeb khay hain

Aa'bas wo apni wafa ke safaii daita hai

Chalo k dair talak fahmi kuch qiyaam karo

Ye bar bar hamein ghar duhaii daita hai

Book Rut Badal Rahe Ho Gi

No comments:

Post a Comment