Ye kon chehray mery watan ke fiza ko dasht bana rahe hain
Har aik janib lahoo ke bondey hawa k mathey pe laa rahe hain
Hain hath uthaye duaien chup hain sehr ke pheki ziyaaen chup hain
Meray watan mein ye kasey musam ye kasi aandhi chala rahe hain
Udaas bachey udaas galiyaan udaas gull hain udaas kaliyaa
Ujaar lamhe ye kiyun udaasi har aik janib saja rahe hain
Samaton par hai be'yaqeni sitam gire aur hai be'makeeni
Har aik janib khiza k musam ujaar pan ko khula rahe hain
Ayaz jitne bhi hain waderay wohi hai zalim wohi lutarey
Wohi hain hakim bane howe aur hamari qismat bana rahe hain
Book Tum Shart-e-Zindagi Ho
No comments:
Post a Comment