Dosh mat do saqi gulfaam ko
Bho0l kar main cho0 gaya tha jaam ko
Tum kaho to mushkura kar zindagi
Daan kar do gardish-e-alaam ko
Dekhiye kab khair khuwahon ke nazar
Dhondhti hai har gale gum'naam ko
Tum churana mery ghar se roshni
Main churaao ga tumhari shaam ko
Malik kon-o-makaan aik be'sakon
Phir raha hai ja'baja aaraam ko
Sochiye k phir kahan ke ashqi
Ishq mein agar sochiye anjaam ko
Main koi arif nahi h0n aam h0n
Ehmiyaat kam do tum aisey aam ko
Book Kaghaz K Ghar
No comments:
Post a Comment