Kya lutf k wo zulam bhi jari nahi rakhte
Kya dost hain kuch laaj hamari nahi rakhte
Ham lipte howe ghar se bhi rahte nahi lekin
Hijraat ka koi khouf bhi taari nahe rakhte
Ijaz-e-takhyel se pohanchte hain sar-e-arsh
Ham ihl-e-hunar koi sawari nahi rakhte
Rahne pe nahi tum he jo tiyaar to jaao
Ham koi nishaani bhe tumhari nahi rakhte
Ye yaad rahe aan pe maar mit'te hain ham loga
Mat bholna ham jaan bhe pyaari nahi rakhte
Kyun bojh par0n ka liye phirtey hain na jane
Ayaz parindey jo udaarii nahi rakhte
Book Tanhai Se Dar Lagta Hai
No comments:
Post a Comment