Phley to sab par kham0shi taarii kar0n gi main
Phir us k baad baat tumhari kar0n gi main
Baithe rahon gi baagh mein az subha taa ba shaam
Warfatgi mein phol shumari karon gi main
Manzar nikal laaon gi khuwaab-o-khyaal se
Kaghaz pe aise naqsh nigare kar0n gi main
Us gull saft ko zeest mein rakh0n gi mujzaan
Khushboo se apni saans ko jaari kar0n gi main
Main apna dil lagaon gi bas us k dehyaan mein
Kis ne kaha waqat guzari kar0n gi main
Karta rahe wo dasht narodi ka ihtamaan
Awargi ke had bhi jari kar0n gi main
Wo mujh ko mil jaye ga maheen aik din
Apne khuda se arz guzari kar0n gi main
Book Baagh
No comments:
Post a Comment