Tuesday, 7 April 2015

Rakib Raja


Pencil kaghaz le kar sari raat banata rehta h0n

Aaj bhe us ke aankhen, laab aur hath banata rehta hon

Kesay us ko milna hai or kesay us ko paana hai

Har pall sochta rehta h0n hallaat banata rehta h0n

Tote phote jin lafzon par dhul pari ho galiy0n ke

Un lafz0n ko chun chun kar main baat banata rehta hon

Us ke baaten likh leta h0n dil k korey kaghaz par

Fursat mein un baaton se naghmaat banata rehta h0n

Book Theraa Howa Aanso0

No comments:

Post a Comment