Monday, 13 April 2015

Syed Mubarik Shah


Khal se neela khubar utra nahe abhe tak

Falak zameen k diyar utra nahe abhe tak

Paahaar badal se baraf le kar ye p0chte hain

Sumandr0n ka bukhaar utra nahe abhi tak

Abhi salamat hain hamare hosh-o-hawas mery

Mery laho0 ka khumar utra nahe abhi tak

Main aaiine k baghair khud ko na dekh paavn

Main apni aankh0n k paar utra nahe abhi tak

Tery chehre se waqat utara to kya h0wa hai

Mery nazar ka nikhar utra nahe abhi tak

Hamen sarakti zameen k uper utar kar bhe

Tumhare sine ka baar utra nahe abhi tak

Book Madaar-E-Naarasaayi Main

No comments:

Post a Comment