Tuesday, 14 April 2015

Farhad Jibreel


Lafz-0-maini k darmiyaan mein hon

Phir bhe sadiy0n se dastaan mein h0n

Mera saaya zameen pe rengtaa hai

Roz-e-awwal se main urran mein h0n

Meri hasti mery faraib mein hai

Aur main hasti k imtehaan mein h0n

Mujh ko rehna hai aik bashar aur main

Do farisht0n k darmiyaan mein h0n

Jism se kab ka main guzar bhe chuka

Mujh ko mehs0s kar main jaan mein hon

Kya ye hasil hai sari khosish ka

Ghar mein rahte howe makaan mein h0n

Gham tasalsul se meri taak mein hain

Main musalsal tumhery dehyaan mein h0n

Misl-e-shirein yeh zindagi hai mujhe

Main h0n farhad is gumaan mein h0n

Book Tum Bhi Hud Kartay Ho

No comments:

Post a Comment