Kaash main teray bun-e-gosh main bunda hota
Raat ko be'khabri main jo machal jata main
To teray kaan se chup chaap nikal jata main
Subh ko girtay teri zulfon se jab baasi phool
Meray kho janay pe hota tera dil kitna malool
Tu mujhe dhoondti kis shoq se ghabrahat main
Apne mehkay huay bister ki her eik silwat main
Jun hi kerti teri narm ungliaan mehsus mujhe
Milta is gosh ka gosha-e-manoos mujhe
Kaan se tu mujhe hergiz na utara kerti
Tu kabhi meri judai na gawara kerti
Yun teri qurbat-e-rangen ke nashay main madhosh
Umr bhar rehta meri jaan main tera halqa-bagosh
Kaash main teray bun-e-gosh mein bunda hota
No comments:
Post a Comment