Jaib ke haalat se dar jata h0n
Bachey sote hain to ghar jata h0n
Chaak se khencha howa naqsha h0n
Hath lagte he utar jata h0n
Qad farast ka zara oncha kar
Main tery sar se guzar jata h0n
Daman khush'fahm bhe kaisa h0n
Honsla deny se bhar jata h0n
Ihtamaam dushmani hai kyun kar
Shouq h0n chaht se maar jata h0n
No comments:
Post a Comment