Maar k un ko dekha diya ham ne
Phir bhe kahte hain kya kiya ham ne
Un ke raah0n mein ham rukawat the
Kar diya saaf rastaa ham ne
Rooh be'chain the kaae din se
Kar diya jaan se juda ham ne
Waqat-e-akhir maaf kar dena
Yaar jo kuch kaha suna ham ne
Shehr-e-akhyaar mein khare ho kar
Kar diya tera tazkaraa ham ne
Dast-e-qatil ne zor dikhlaayaa
Qalma-e-haq buland kiya ham ne
Rokta he raha hamein vaaiz
Qas-o-jaam utha liya ham ne
Log kahte hain teri galiy0n mein
Dekha faisal paraa howa ham ne
Book Ham Bicharne Waley Hain
No comments:
Post a Comment