Jahan kyun baity0n se ho gaya bezaar aae saqi
Kare hai kookh mein bhi dukhtar0n pe waar aae saqi
Ajab yeh daur hai is mein kare koi bharay koi
Shareef0n ka yahan jeena huwa dushwaar aae saqi
Zamane bhar k ranj-o-gham hamein pay ho rahay nazil
Hamein par ho rahi har simt se yalghaar aae saqi
Karen jor-o-jafaa chahay mere sir ko qalam kar dein
Magar ho gi kahan aisay zamee gulzaar aae saqi
Satayi ja rahi meera uthaai ja rahi seeta
Utartay kyun nahi dunya mein ab autaar aae saqi
Hamein par kis liye hoti hai yeh alzam0n ki barish
Sataaye kis liye jatay hain hum har baar aae saqi
Uthaye naaz yaar0n k bithaya un ko palk0n par
Magar phir bhi nahi apna koi gham khawar aae saqi
No comments:
Post a Comment