Monday, 28 July 2014

Alvira Yasmeen Ali

Kab neklay ga chand kab meri ho gi meri eid
.
Kab is tarsi howi nigaah ko milay gi un ki deed
.
Ab mariz hijar ka koi chaara karo saaiye
.
Dil mein itne taab nahe hai or dard shadeed
.
Deed-o-lab se jhartay rahay izhar k moti jab
.
Phir mein kaise karte un ki chaht ki tar'deed
.
Waqat kitaab mein likha jata hai har paal ka haall
.
Ishq kitab mein kya bandhay ham mushkil ki tam'heed
.
Waqat k dariya ne uglay hain kaise kaise raaz
.
Un ki har aik dard-e-sada ne mujh ko liya kahreed

No comments:

Post a Comment