Sunday, 20 July 2014

Poet Washma Khan Washma

Guzri howi hawaon mein ja kar wo so gaya
.
Dariya mein maira naam baha kar wo so gaya
.
Pal pal pighalte raat mein jo muntazir raha
.
Phir sare khuwaab meray jaala k wo so gaya
.
Sahil pe aik bana k gharonda sa rait ka
.
Har aik gham ko dil se laga kar wo so gaya
.
Apne badan ki khirchiya samit0n to kis tarha
.
Mera to sab wajod hilaa kar wo so gaya
.
Kaise howa ab yaqeen k wo lout aye ga
.
Wadon k khuwaab mujh ko daikha kar wo so gaya

Book Jan-E-Mohsin

No comments:

Post a Comment