Barsatein Bhi Lagti Hain Jangal Ki Aag
Husn Ke Aatish Kady Mein Nach Raha Hai Koi
Chum Chum Ki Awaz Hai Ya Payal Ki Aag
Mein Bhi Jal Kar Kundan Banna Chahta Hon
Mere Hathon Pe Rakh Do Ek Ek Pal Ki Aag
Rakh Ka Dhair Bana Deti Hai Insan Ko Ishq Ka Asli Naam Hai Ek Pagal Ki Aag
Shabnam Hai Ya Bijli Ham Par Girti Hai, Sard Hawayen Hain Ya Us Anchal Ki Aag
Haal Ke Sholy Mustaqbil Ki Phulwari, Aaj Ke Seene Mein Jalti Hai Kal Ki Aag
Meri Sha Raag Ka Qabza Har Khanjar Par Mere Khoon Se Roshan Kar Maqtal Ki Aag
Ma'y Se Bharh Kar Masti Ma'y Ki Hoti Hai, Jis Ki Aag Se Kumtar Hai Botal Ki Aag
Ham Jaise Dil Jale Muzaffar Jante Hain,
Posheeda Hai Kook Mein Hai Koyal Ki Aag...!
Book
Rakh Ke Dhair Main Phool
No comments:
Post a Comment