Mah O Anjum Usi Tarah Roshan
Kahkashan Ab Bhi Muskurati Hai
Phool Kalyan Mahak Rahi Hain Yun Hi
Baad Muddat Ke Sare Pardesi
Apne Apne Gharon Jo Aaye Hain
Har Taraf Rang O Boo Ka Mela Hai
Aur Tanha Mein Apne Kamre Mein
Kab Se Bethi Hon Aur Sochti Hon
Jane Kiya Baat Hai Ke Ghar Mein Mere
Jo Guzashta Baras Thi Ronaq Ab
Wo Kahin Bhi Nazar Nahin Aati
Hai Fiza Mein Ajeeb Sanata
Ha'n Faqat Ek Tere Jane Se
Aisa Mehsoos Ho Raha Hai Mujhe
Rut Khushi Ki To Har Taraf Aayi
Sirf Chote Se Mere Aangan Mein
Eid Ab Ke Baras Nahin Aayi...!
No comments:
Post a Comment