.
Yaar ne hickiyan le le k manaiye ho gi
.
Chand bhi baam pe matam-e-kanan aya ho ga
.
Bazm-e-ghum qutbi sitare ne sajaiye ho gi
.
Rang to mera pasnd'deedha he pehna ho ga
.
Naam ki mehndi bhi galti se lagaiye ho gi
.
Sabqa eid ka manzar koi yaad ate hi
.
Laaj k maare nazar us ne jhukaiye ho gi
.
Ghar meri marzi k rang0n se sajaya ho ga
.
Meri maan chahye gaza dil se banaiye ho gi
.
Phir gazl khol k tawiz parhe ho gi meri
.
Chekhey hasrat se kalejaye mein dabaiye ho gi
.
Apne paalo se meri yaad ko poancha ho ga
.
Jhoty ghaze ki hansi rukh pe sajaiye ho gi
.
Pehle to us ne gine hon gay kai so taare
.
Phir dawa nend ki uth kar koi kahaiye ho gi
.
Aqal bole k nahe eid sanam k aise
.
Dil bazd hai k nahe aise he aiye ho gi
.
Yah to ehsas-e-nadamat ne rolaya ho ga
.
Yah Ghazal qais ki shohar ne sunaiye ho gi
Book Eid
No comments:
Post a Comment