Rasme Duniya Bhi Hai Moka Bhi Hai Dastor Bhi Hai
Ishq Is Tarah Ke Gustakh Takaze Na Kare
Husn Mazdor Bhi Majbor Bhi Magroor Bhi Hai
Guror E Husn K Sadke Mohabt Yun Nahi Karte
Bhari Mahfil Main Zahir Dil Ki Wahshat Yun Nahi Karte
Yah Mana Tum Haseen Ho Tumhain Haq Hai Shararat Ka
Kisi Ki Jan Pe Ban Jaye Shararat Yun Nahi Karte
Jise Tum Husn Kahte Ho Wo Kaaba Hai Nigahon Ka
Adab Lazim Hai Kaabe Ki Ziyaraat Yun Nahi Karte
Kuch Apne Husn Ki Khairat De Do Hum Fakiron Ko
Kisi Sahil Ko Apne Dar Say Rukhsat Yun Nahi Karte
Haya Or Sharam Ko Hum Husn Ka Zewar Samajhte Hai
Ya Zewar Lota Ke Day Jaaye Sakhawat Yun Nahi Karte
Tumhari Ik Nazar Par Faisla Hai Zindagani Ka
Masiha Hok Bimaron Say Gaflat Yun Nahi Karte
Masiha Ho Tum In Kufr Ki Baton Say Baaz Aao
Khuda Chor Kar Buutt Ki Ibadat Yun Nahi Karte
Ap nay Jo Kaha Wohi Theek Sahi
.
Mera Kahna Bhi Kuch Bura To Nahi
.
Ke Eid Ka Din Hai Gale Aj To Mil Le Zalim
.
Rasme Dunya Bhi Hai Moka Bhi Hai Dastor Bhi Hai
Mahndi Hasan
No comments:
Post a Comment