Samjhotay ka qaail h0n reh reh ke lachakta h0n
.
Itna nah jhuka mujh ko mein tot bhi sakta h0n
.
Jab ounchay pahar0n se takra ke palat'ta h0n
.
Maidan hi neecha hai maidan pay barasta h0n
.
Khaye hain fraib itnay insan se darta h0n
.
Wehshat mein khud apne hi saaye se bharakta h0n
.
Yakh basta mulakaatein rishte bhi hain bar'felay
.
Yeh aag bhi kaisi hai mein jis mein sulagta h0n
.
Kuch or sitam us ne ijaad kiye h0n ge
.
Zalim ke tabasum ko mein khub samjhta h0n
No comments:
Post a Comment